Showing posts with label Mansoor Usmani. Show all posts
Showing posts with label Mansoor Usmani. Show all posts

Sunday, July 1, 2018

Aankhon Se Mohabbat Ke Ishaare Nikal Aaye

Aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aaye,
Barsaat ke mausam mein sitare nikal aaye...

Tha tujh se bichhad jaane ka ahsaas magar ab,
Jeene ke liye aur sahaare nikal aaye...

Main ne to yunhi zikr-e-wafa chhed diya tha,
Be-saakhta kyun ashk tumhaare nikal aaye...

Jab main ne safeene mein tera naam liya hai,
Tufaan ki baahon se kinare nikal aaye...

Hum jaan to bacha late magar apna muqaddar,
Is bheed mein kuchh dost humare nikal aaye...

Jugnu inhein samjha tha magar kya kahun 'Mansoir',
Mutthi ko jo khola to sharare nikal aaye.!!

"Mansoor Usmani"

Aawaargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya

Aawaargi ne dil ki ajab kaam kar diya,
Khwabon ko bojh neendon ko ilzaam kar diya...

Kuchh aansu apne pyar ki pahchan ban gaye,
Kuchh aansuon ne pyar ko badnaam kar diya...

Jis ko bachaye rakhne mein ajdaad bik gaye,
Hum ne usi haweli ko nilaam kar diya...

Dil ko bacha ke rakkha tha duniya se aaj tak,
Le aaj hum ne ye bhi tere naam kar diya.. 

Tum ne nazar jhuka ke jahaan baat kaat di,
Hum ne wahin fasane ka anjaam kar diya.!!

"Mansoor Usmani"

Bujhne Na Do Charagh-e-wafa Jaagte Raho

Bujhne na do charagh-e-wafa jaagte raho,
Paagal hui hai ab ke hawa jaagte raho...

Sajdon mein hai khuloos to phir chandni ke saath,
Utrega aanganon mein khuda jaagte raho...

Alfaaz so na jaayen kitaabon ko odh kar,
Danishwaraan-e-qaum zara jaagte raho...

Kaisa ajeeb shor hai basti mein aaj kal,
Har ghar se aa rahi hai sada jaagte raho...

Pahle to us ki yaad ne sone nahin diya,
Phir us ki aahaton ne kaha jaagte raho...

Phoolon mein khushbuon mein sitaaron mein chaand mein,
Kholega koi band-e-qaba jaagte raho...

Tum bhi suno ke shahr-e-khamoshaa'n mein raat din,
Sannaate de rahe hain sada jaagte raho...

Jab bhi qalam ko mere kabhi aayin jhapkiyaan,
Aankhon ne aansuon se likha jaagte raho...

'Mansoor' ratjage to muqaddar hain aap ka,
Jab tak jale sukhan ka diya jaagte raho.!!

"Mansoor Usmani"

Dil Mein Yoon Pyar Ki Ek Taaza Kahani Mahke

Dil mein yoon pyar ki ek taaza kahani mahke,
Jaise aangan mein kahin raat ki raani mahke...

Main ne lafzon ko kahaan us ki taraf moda hai,
Zikr aa jaaye jo us ka to kahani mahke...

Sar se pa tak use khushbu ka khazana kahiye,
Baithe dariya mein utar jaaye to paani mahke...

Ghum ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzeeb,
'Meer' ke baad usi rang mein 'Faani' mahke...

Is ko kahte hain mohabbat ka karishma 'Mansoor',
Meri ghazlo'n mein mera dushman-e-jaani mahke.!!

"Mansoor Usmani"

Saturday, June 30, 2018

Duniya Samajh Rahi Hai Ke Patthar Uchhaal Aaye

Duniya samajh rahi hai ke patthar uchhaal aaye,

Hum apni pyas ja ke samandar mein daal aaye...

Jo phaans chubh rahi hai dilo'n mein wo tu nikaal,

Jo paanw mein chubhi thi use hum nikaal aaye...

Kuchh is tarah se zikr-e-tabahi sunaiye,

Aankhon mein khoon aaye na shishe mein baal aaye...

Samjho ke zindagi ki wahin shaam ho gayi,

Kirdaar bechne ka jahaan bhi sawaal aaye...

Guzro dayaar-e-fikr se 'Mansoor' is tarah,

Khud par zawaal aaye na fan par zawaal aaye.!!

"Mansoor Usmani"

Gulshan Mein Ye Kamaal Tujhe Dekh Kar Hua

Gulshan mein ye kamaal tujhe dekh kar hua,
Phoolo'n ka rang laal tujhe dekh kar hua.. 

Muddat ke baad aaj mile hain to jaan-e-man,
Dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua..

Aao hum aaj chaand ka qarza utar dein,
Taaro'n ko ye khyaal tujhe dekh kar hua..

Khushbu se kis zabaan mein baatein karenge log,
Mahfil mein ye sawaal tujhe dekh kar hua,

Ashko'n se jab likhenge ghazal tab sunayenge,
Is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.!!

"Mansoor Usmani"

Haalat Kya Ye Tere Bichhadne Se Ho Gaye

Haalat kya ye tere bichhadne se ho gaye, 
Lagta hai jaise hum kisi mele mein kho gaye..

Aankhein baras gayin to sukoon dil ko mil gaya,
Baadal to sirf sookhi zameenein bhigo gaye..

Kitni kahaniyon se mila zindagi ko husn,
Kitne fasane waqt ki chaadar mein so gaye..

Aankhon se neend roothi to nuqsaan ye hua,
Mere hazaron khwab mere dil mein so gaye..

'Mansoor' muddaton se mujhe un ki hai talaash,
Nafrat ke beej mere chaman mein jo bo gaye.!!

"Mansoor Usmani"

Is Shahar Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki

Is shahar mein chalti hai hawa aur tarah ki,
Jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki...

Is baar to paimana uthaya bhi nahin tha,
Is baar thi rindo'n ki khata aur tarah ki...

Hum aankhon mein aansu nahin laate hain ke hum ne,
Paai hai wirasat mein ada aur tarah ki...

Is baat pe naraaz tha saaqi ke sar-e-bazm,
Kyun aai pyaalon se sada aur tarah ki...

Is daur mein mafhoom-e-mohabbat hai tijarat,
Is daur mein hoti hai wafa aur tarah ki...

Shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar hum,
'Mansoor' na maangenge dua aur tarah ki.!!

"Mansoor Usmani"

Main Hun Khamosh Magar Bol Raha Hai Mujh Mein

Main hun khamosh magar bol raha hai mujh mein,
Aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein...

Mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye,
Shahar to ye bhi kayi baar luta hai mujh mein...

Tujh ko chahat hai wafa ki to mujhe ghaur se padh,
Wo kitaabon mein kahaan hai jo likha hai mujh mein...

Muskuraata hua maqtal se guzar aaya hun,
Zindagi teri koi khaas ada hai mujh mein... 

Ye alag baat ke alfaaz hain mere lekin,
Sach to bas ye hai ke teri hi sada hai mujh mein...

Mere shero'n se bikhar sakte hain us ke gesu,
Tera andaaz bhi ai baad-e-saba hai mujh mein...

Laakh khamosh sahi saari fazaaen 'Mansoor',
Bolne waala magar bol raha hai mujh mein.!!

"Mansoor Usmani"

Masafat Manzilon Ki Jab Humare Sar Pe Rakkhi Thi

Masafat manzilon ki jab humare sar pe rakkhi thi,

Falak kandhon pe rakkha tha zameen thokar pe rakkhi thi...

Humare pyaar ki shohrat hui thi yoon zamane mein,

Waraq sadko'n pe bikhre the kahani ghar pe rakkhi thi...

Kiya hai harf-e-haq hum ne ada kuchh is qareene se,

Nazar qaatil pe rakkhi thi zabaan khanjar pe rakkhi thi...

Tujhe paane ki uljhan mein kuchh aise din bhi guzre hain,

Badan shabnam se jalta tha qaza bistar pe rakkhi thi.!!

"Mansoor Usmani"

Tishnagi Dil Ki Bujhana To Khabar Kar Dena

Tishnagi dil ki bujhana to khabar kar dena,
Ashk aankhon mein chhupana to khabar kar dena...

Hum ne kuchh geet likhe hain jo sunana hain tumhein,
Tum kabhi bazm sajaana to khabar kar dena...

Haadse rah-e-mohabbat ka muqaddar thehre,
Jab humein dil se bhulana to khabar kar dena...

Jin kitaabon mein chhupaye hain mere khat tum ne,
Un kitaabon ko jalana to khabar kar dena... 

Aaj begana samajhte ho to samjho lekin,
Jab sataye ye zamana to khabar kar dena...

Main zaroor aaunga 'Mansoor' tumhaari khaatir,
Tum jo maqtal ko sajaana to khabar kar dena.!!

"Mansoor Usmani"

Toot Jaata Hai Sitaaron Ka Bharam Raat Gaye

Toot jaata hai sitaaron ka bharam raat gaye,
Jagmagaate hain tere naqsh-e-qadam raat gaye...

Kya batayen jo guzarti hai humare dil par,
Yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gaye...

Gharq ho jaati hai jab neend mein saari duniya,
Jaag uthte hain adeebo'n ke qalam raat gaye...

Roz aate hain sada de ke chale jaate hain,
Dil ke darwaze pe kuchh ahl-e-karam raat gaye...

Rok leti hai teri yaad sahaara ban kar, 
Dagmagate hain agar mere qadam raat gaye...

Jin ki ummid mein hum din ko jiya karte hain,
Toot jaate hain wahi qaul-o-qasam raat gaye...

Jin ki qismat mein nahin din ka ujaala 'Mansoor',
Un charaaghon mein jala karte hain hum raat gaye.!!

"Mansoor Usmani"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...