Wednesday, June 27, 2018

Itni Haseen Itni Jawaan Raat Kya Karein

Itni haseen itni jawaan raat kya karein,
Jaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya karein..

Pedo'n ke baazuon mein mahakti hai chaandni,
Bechain ho rahe hain khyalaat kya karein.. 

Saanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahak,
Daaman ko chhu raha hai koi haath kya karein..

Shayad tumhaare aane se ye bhed khul sake,
Hairaan hain ke aaj nayi baat kya karein.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...