* Nazm *
_________
Apne seene se lagaye hue ummid ki laash,
Muddaton zeest ko nashaad kiya hai main ne..
Tu ne to ek hi sadme se kiya tha do-chaar,
Dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne..
Jab bhi raahon mein nazar aaye hareeri malboos,
Sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne..
Aur ab jab ke meri rooh ki pahnaai mein,
Ek sunsaan si maghmoom ghata chhaai hai..
Tu damakte hue aariz ki shuaaen le kar,
Gul-shuda shammein jalaane ko chali aai hai..
Meri mahboob ye hangama-e-tajdeed-e-wafa,
Meri afsurda jawaani ke liye raas nahin..
Main ne jo phool chune the tere qadmon ke liye,
Un ka dhundla sa tasawwur bhi mere paas nahin..
Ek yakh-basta udaasi hai dil o jaan pe muheet,
Ab meri rooh mein baaqi hai na ummid na josh,
Rah gaya dab ke giraa'n-bar salasil ke tale,
Meri darmaanda jawaani ki umangon ka kharosh..
Regzaaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin,
Saya-e-abr-e-gurezaa'n se mujhe kya lena..
Bujh chuke hain mere seene mein mohabbat ke kanwal,
Ab tere husn-e-pashemaa'n se mujhe kya lena..
Tere aariz pe ye dhalke hue seemi'n aansu,
Meri afsurdagi-e-ghum ka mudawa to nahin..
Teri mahboib nigaahon ka payam-e-tajdeed,
Ek talaafi hi sahi meri tamanna to nahin.!!
"Sahir Ludhianwi"
__________
Hareeri = silken cloth,
Malboos = clothed, clothes, garments,
Pahnaai = make wear,
Maghmoom = sad, grieved, sorrowful,
Shuaaen = rays,
Gul-shuda = Extinguished,
Hangama-e-tajdeed-e-wafa = tumult of renewing constancy,
Yakh-basta = frozen,
Muheet = encircling, surrounding, circumference,
Giraa'n-baar = heavily burdened, heavily,
Salasil = Shackles, Chains,
Darmaanda = helpless, distressed,
Kharosh = loud noise, cry, tumult,
Regzaaron = sandy regions or places, deserts,
Saya-e-abr-e-gurezaa'n = shadow of evasive rain cloud,
Seemi'n = of silver, silvery, white,
Payam-e-tajdeed = message to restart,
No comments:
Post a Comment