Showing posts with label Muneer Niyazi. Show all posts
Showing posts with label Muneer Niyazi. Show all posts

Wednesday, July 11, 2018

Hamesha Der Kar Deta Hun

* Nazm *
__________

Hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein...

Zaroori baat kahni ho koi waada nibhana ho,

Use aawaz deni ho use waapas bulana ho,

Hamesha der kar deta hun main...

Madad karni ho us ki yaar ki dhaaras bandhana ho,

Bahut dereena raston par kisi se milne jaana ho,

Hamesha der kar deta hun main...

Badalte mausamon ki sair mein dil ko lagana ho,

Kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho,

Hamesha der kar deta hun main...

Kisi ko maut se pahle kisi ghum se bachana ho,

Haqeeqat aur thi kuchh us ko ja ke ye batana ho,

Hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein.!!

"Muneer Niyazi"

Thursday, January 4, 2018

Zor Paida Jism O Jaan Ki Na-tawaani Se Hua

Zor paida jism o jaan ki na-tawaani se hua,
Shor shahro'n mein musalsal be-zabaani se hua.!

Der tak ki zindagi ki khwahishein us but ko hain,
Shauq us ko inteha ka umr-e-faani se hua.!

Main hua na'kaam apni be-yaqeeni ke sabab,
Jo hua sab mere dil ki bad-gumaani se hua.!

Hai nishaa'n mera bhi shayad shash-jihaat-e-dahr mein,
Ye gumaa'n mujh ko khud apni be-nishaani se hua.!

Tha 'Muneer' aaghaaz hi se raasta apna ghalat,
Is ka andaza safar ki raaigaani se hua.!!

"Muneer Niyazi"
___
Na-tawaani = weakness, inability
कमज़ोरी, दुर्बलता,
Shash-jihaat-e-dahr = Six facets of world,

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaayein Hum To Kya

Zinda rahein to kya hai jo mar jaayein hum to kya,
Duniya se khamoshi se guzar jaayein hum to kya.!

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne,
Kk khwaab hain jahaan mein bikhar jaayein hum to kya.!

Ab kaun muntazir hai humaare liye wahaan,
Shaam aa gai hai laut ke ghar jaayein hum to kya.!

Dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr,
Dariya-e-ghum ke paar utar jaayein hum to kya.!!

"Muneer Niyazi"

Ye Kaisa Nasha Hai Main Kis Ajab Khumaar Mein Hun

Ye kaisa nasha hai main kis ajab khumaar mein hun,
Tu aa ke ja bhi chuka hai main intezaar mein hun,

Makaan hai qabr jise log khud banaate hain,
Main apne ghar mein hun ya main kisi mazaar mein hun,

Dar-e-faseel khula ya pahaad sar se hata,
Main ab giri hui galiyo'n ke marg-zaar mein hun,

Bas itna hosh hai mujh ko ke ajnabi hain sab,
Ruka hua hun safar mein kisi dayaar mein hun,

Main hun bhi aur nahin bhi ajeeb baat hai ye,
Ye kaisa jabr hai main jis ke ikhtiyaar mein hun,

'Muneer' dekh shajar chaand aur deewarein,
Hawa khizaa'n ki hai sar par shab-e-bahaar mein hun.!!

"Muneer Niyazi"

Wo Jo Mere Paas Se Ho Kar Kisi Ke Ghar Gaya

Wo jo mere paas se ho kar kisi ke ghar gaya,
Reshmi malboos ki khushbu se jaadu kar gaya,

Ek jhalak dekhi thi us ru-e-dil-aara ki kabhi,
Phir na aankho'n se wo aisa dilruba manzar gaya,

Shahr ki galiyo'n mein gahri teergi giryaa'n rahi,
Raat baadal is tarah aaye ke main to darr gaya,

Thi watan mein muntazir jis ki koi chashm-e-haseen,
Wo musaafir jaane kis sahra mein jal kar mar gaya,

Subah-e-kaazib ki hawa mein dard tha kitna 'Muneer',
Rail ki seeti baji to dil lahu se bhar gaya.!!

"Muneer Niyazi"

Us Samt Mujh Ko Yaar Ne Jaane Nahin Diya

Us samt mujh ko yaar ne jaane nahin diya,
Ek aur shahr-e-yaar mein aane nahin diya,

Kuchh waqt chaahte the ke sochein tere liye,
Tu ne wo waqt hum ko, zamaane nahin diya,

Manzil hai us mahak ki kahaan kis chaman mein hai,
Us ka pata safar mein hawa ne nahin diya,

Roka anaa ne kaawish-e-be-sood se mujhe,
Us but ko apna haal sunaane nahin diya,

Hai jis ke baad ahd-e-zawaal-aashna 'Muneer',
Itna kamaal hum ko khuda ne nahin diya.!!

"Muneer Niyazi"

Us Ka Naqsha Ek Be-tarteeb Afsaane Ka Tha

Us ka naqsha ek be-tarteeb afsaane ka tha,
Ye tamasha tha ya koi khwaab deewane ka tha,

Saare kirdaaro'n mein be-rishta ta'alluq tha koi,
Un ki be-hoshi mein ghum sa hosh aa jaane ka tha,

Ishq kya hum ne kiya aawaargi ke ahd mein,
Ek jatan bechainiyo'n se dil ko bahlaane ka tha,

Khwahishein hain ghar se bahar door jaane ki bahut,
Shauq lekin dil mein waapas laut kar aane ka tha,

Le gaya dil ko jo us mahfil ki shab main ai 'Muneer',
Us haseen ka bazm mein andaaz sharmaane ka tha.!! 

"Muneer Niyazi"

Tujh Se Bichhad Kar Kya Hoon Main Ab Baahar Aa Kar Dekh

Tujh se bichhad kar kya hoon main ab baahar aa kar dekh,
Himmat hai to meri haalat aankh mila kar dekh,

Shaam hai gahri tez hawa hai sar pe khadi hai raat,
Rasta gaye musaafir ka ab diya jala kar dekh,

Darwaaze ke paas aa aa kar waapas mudti chaap,
Kaun hai is sunsaan gali mein paas bula kar dekh,

Shayad koi dekhne waala ho jaye hairaan,
Kamre ki deewaro'n par koi naqsh bana kar dekh,

Tu bhi 'Muneer' ab bhare jahaan mein mil kar rahna seekh,
Baahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh.!!

"Muneer Niyazi"

Thi Jis Ki Justuju Wo Haqeeqat Nahin Mili

Thi jis ki justuju wo haqeeqat nahin mili,
In bastiyon mein hum ko rafaaqat nahin mili,

Ab tak hain is gumaa'n mein ki hum bhi hain dahr mein,
Is wahm se nijaat ki soorat nahin mili,

Rahna tha us ke saath bahut der tak magar,
In roz o shab mein mujh ko ye fursat nahin mili,

Kahna tha jis ko us se kisi waqt mein mujhe,
Is baat ke kalaam ki mohlat nahin mili,

Kuchh din ke baad us se juda ho gaye 'Muneer',
Us bewafa se apni tabiyat nahin mili.!!

"Muneer Niyazi"

Rida Us Chaman Ki Uda Le Gai

Rida us chaman ki uda le gai,
Darakhto'n ke patte hawa le gai,

Jo harf apne dil ke thhikano'n mein the,
Bahut door un ko sada le gai,

Chala main sauubat se pur raah par,
Jahaan tak mujhe inteha le gai,

Gayi jis ghadi shaam-e-sahr-e-wafa,
Manaazir se ek rang sa le gai,

Nishaan ek puraana kinaare pe tha,
Use mauj-e-dariya baha le gai,

'Muneer' itna husn us zamaane mein tha,
Kahaan us ko koi balaa le gai.!!

"Muneer Niyazi"
___
Rida = cloak put on by women when going out,
Sauubat = difficulty,
Shaam-e-sahr-e-wafa = evening of the dawn of love/constancy,
Manaazir = scenes, views,

Ranj-e-firaaq-e-yaar Mein Ruswa Nahin Hua

Ranj-e-firaaq-e-yaar mein ruswa nahin hua,
Itna main chup hua ki tamasha nahin hua,

Aisa safar hai jis mein koi hum-safar nahin,
Rasta hai is tarah ka jo dekha nahin hua,

Mushkil hua hai rahna humein is dayaar mein,
Barso'n yahaan rahe hain ye apna nahin hua,

Wo kaam shah-e-shahr se ya shahr se hua,
Jo kaam bhi hua hai wo achchha nahin hua,

Milna tha ek baar use phir kahin 'Muneer',
Aisa mein chaahta tha par aisa nahin hua.!!

"Muneer Niyazi"

Raat Itni Ja Chuki Hai Aur Sona Hai Abhi

Raat itni ja chuki hai aur sona hai abhi 
Is nagar mein ek khushi ka khwaab bona hai abhi,

Kyun diya dil us but-e-kamsin ko aise waqt mein,
Dil si shay jis ke liye bas ek khilauna hai abhi,

Aisi yaado'n mein ghire hain jin se kuchh haasil nahin,
Aur kitna waqt un yaado'n mein khona hai abhi,

Jo hua hona hi tha so ho gaya hai dosto,
Daagh is ahd-e-sitam ka dil se dhona hai abhi,

Hum ne khilte dekhna hai phir khyabaan-e-bahaar,
Shahr ke atraaf ki mitti mein sona hai abhi,

Baith jaayein saaya-e-daaman-e-ahmad mein 'Muneer',
Aur phir sochein wo baatein jin ko hona hai abhi.!!

"Muneer Niyazi"
___
khyabaan-e-bahaar = road of spring,
Atraaf = sides, directions, suburbs, around,
Saaya-e-daaman-e-ahmad = shadow of Ahmad,

Pi Li To Kuchh Pata Na Chala Wo Suroor Tha

Pi li to kuchh pata na chala wo suroor tha,
Wo us ka saaya tha ki wahi rashk-e-hoor tha,

Kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya,
Mujh se bichhad ke wo bhi bahut ghum se choor tha,

Roya tha kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin,
Main us ghadi watan se kayi meel door tha,

Shaam-e-firaaq aayi to dil doobne laga,
Hum ko bhi apne aap pe kitna ghuroor tha,

Chehra tha ya sada thi kisi bhooli yaad ki,
Aankhein thi'n us ki yarao ke dariya-e-noor tha,

Nikla jo chaand aayi mahak tez si 'Muneer',
Mere siwa bhi baagh mein koi zaroor tha.!! 

"Muneer Niyazi"

Meri Saari Zindagi Ko Be-samar Us Ne Kiya

Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya,
Umr meri thi magar us ko basar us ne kiya,

Main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad,
Par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya,

Rahbar mera bana gumraah karne ke liye,
Mujh ko seedhe raste se dar-ba-dar us ne kiya,

Shahr mein wo mu'atabar meri gawaahi se hua,

Phir mujhe is shahr mein na-mu'tabar us ne kiya,

Shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'Muneer',
Shahr par ye zulm mere naam par us ne kiya.!!

"Muneer Niyazi"

Koi Had Nahin Hai Kamaal Ki

Koi had nahin hai kamaal ki,
Koi had nahin hai jamaal ki...

Wahi qurb o door ki manzilein,
Wahi shaam khwaab-o-khyaal ki...

Na mujhe hi us ka pata koi,
Na use khabar mere haal ki...

Ye jawaab meri sada ka hai,
Ke sada hai us ke sawaal ki...

Ye namaz-e-asr ka waqt hai,
Ye ghadi hai din ke zawaal ki...

Eo qayamatein jo guzar gayin,
Thi'n amanatein kai saal ki...

Hai 'Muneer' teri nigaah mein,
Koi baat gahre malaal ki..!!

"Muneer Niyazi"

Jo Dekhe The Jaadu Tere Haath Ke

Jo dekhe the jaadu tere haath ke,
Hain charche abhi tak isi baat ke,

Ghata dekh kar khush huyin ladkiyaa'n,
Chhato'n par khile phool barsaat ke,

Mujhe dard dil ka wahaan le gaya,
Jahaan dar khule the tilismaat ke,

Hawa jab chali phadphada kar ude,
Parinde puraane mahallaat ke,

Na tu hai kahin aur na main hun kahin,
Ye sab silsile hain khyalaat ke,

'Muneer' aa rahi hai ghadi wasl ki
Zamaane gaye hijr ki raat ke..!!

"Muneer Niyazi"

Jafaaein Door Tak Jaati Hain Kam Aabaad Shahron Mein

Jafaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein,

Wafaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein,

Bahaarein der tak rahti hain kam aabaad qariyo'n mein,

Khizaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein,

Sada hansne ki ho afsos ki ya aah bharne ki,

Sadaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein,

Andhera jab ghana ho to charaagh-e-raah-e-veera'n ki,

Shuaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein,

'Muneer' aabaad shahron ke makeeno'n ki hawa le kar,

Hawaaein door tak jaati hain kam aabaad shahron mein.!!

"Muneer Niyazi"

Itne Khamosh Bhi Raha Na Karo

Itne khamosh bhi raha na karo,
Ghum judaai mein yoon kiya na karo,

Khwaab hote hain dekhne ke liye,
Un mein ja kar magar raha na karo,

Kuchh na hoga gila bhi karne se,
Zaalimo'n se gila kiya na karo,

Un se niklein hikayatein shayad,
Harf likh kar mita diya na karo,

Apne rutbe ka kuchh lihaaz 'Muneer'
Yaar sab ko bana liya na karo.!!

"Muneer Niyazi"

Imtihaan Hum Ne Diye Is Daar-e-faani Mein Bahut

Imtihaan hum ne diye is daar-e-faani mein bahut,
Ranj kheenche hum ne apni la-makaani mein bahut,

Wo nahin us sa to hai khwaab-e-bahaar-e-jaaweda'n,
Asl ki khushbu udi hai us ke saani mein bahut,

Raat din ke aane jaane mein ye sona jaagna,
Fikr waalon ko pate hain is nishaani mein bahut,

Koyalein kookin bahut deewaar-e-gulshan ki taraf,
Chand damka hauz ke shaffaaf paani mein bahut,

Us ko kya yaadein thin kya aur kis jagah par rah gayin,
Tez hai dariya-e-dil apni rawaani mein bahut,

Aaj us mahfil mein tujh ko bolte dekha 'Muneer',
Tu k jo mashhoor tha yoon be-zabaani mein bahut

"Muneer Niyazi"
___
Daar-e-faani = house of mortality,
La-makaani = illocal, unplaced,
Khwaab-e-bahaar-e-jaaweda'n = dream of eternal spring,
Saani = match, equal,

Hansi Chhupa Bhi Gaya Aur Nazar Mila Bhi Gaya

Hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya,
Ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya,

Utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaan tha,
Sadaaein de ke mujhe neend se jaga bhi gaya,

Ghazab hua jo andhere mein jal uthi bijli,
Badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya,

Na aaya koi lab-e-baam shaam dhhalne lagi,
Wufoor-e-shauq se aankhon mein khoon aa bhi gaya,

Hawa thi gahri ghata thi hina ki khushbu thi,
Ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya,

Chalo 'Muneer' chalein ab yahaan rahein bhi to kya,
Wo sang-dil to yahaan se kahin chala bhi gaya.!!

"Muneer Niyazi"
___
Wufoor-e-shauq = excess of love,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...