Asar us ko zara nahin hota,
Ranj rahat-faza nahin hota,
Bewafa kahne ki shikayat hai,
To bhi waada-wafa nahin hota,
Zikr-e-aghyaar se hua maloom,
Harf-e-naaseh bura nahin hota,
Kis ko hai zauq-e-talkh-kaami lek,
Jang bin kuchh maza nahin hota,
Tum humare kisi tarah na hue,
Warna duniya mein kya nahin hota,
Us ne kya jaane kya kiya le kar,
Dil kisi kaam ka nahin hota,
Imtihaan kijiye mera jab tak,
Shauq zor-aazma nahin hota,
Ek dushman ke charkh hai na rahe,
Tujh se ye ai dua nahin hota,
Aah tool-e-amal hai roz-fuzoon,
Garche ek muddaa nahin hota,
Tum mere paas hote ho goya,
Jab koi dusra nahin hota,
Haal-e-dil yaar ko likhun kyunkar,
Haath dil se juda nahin hota,
Rahm bar-khasm-e-jaan-e-ghair na ho,
Sab ka dil ek sa nahin hota,
Daaman us ka jo hai daraaz to ho,
Dast-e-aashiq rasa nahin hota,
Chaara-e-dil siwaye sabr nahin,
So tumhaare siwa nahin hota,
Kyun sune arz-e-muztar ai 'Momin'
Sanam aakhir khuda nahin hota.!!
"Momin Khan Momin"
___
Zauq-e-talkh-kaami = ability to enjoy bitterness,
Zor-aazma = making effort, to try,
Charkh = Sky,
Tool-e-amal = longitude of desire,
Roz-e-fuzoon = numerous days,
Bar-khasm-e-jaan-e-ghair = on life of others antagonists ( in law)
Rasa = reached, delivered,