Jis anjuman mein dekho begane rah gaye hain,
Ginti ke log jaane pahchane rah gaye hain..
Kal jin haqeeqaton se maahaul mo'atabar tha,
Aaj un haqeeqaton ke afsaane rah gaye hain..
Ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baaqi,
Kuchh pairahan-dareeda deewane rah gaye hain..
Tareekh-e-ahd-e-rafta bil-ikhtisaar ye hai,
Gulshan jahaan jahaan the veerane rah gaye hain..
'Iqbal' dhundhte ho tum jin ko mahfilon mein,
Un ki jagah ab un ke afsaane rah gaye hain.!!
"Iqbal Azeem"
__________
Ghaarat-e-chaman = ruin of garden,
Pairahan-dareeda = torn apparel,
Tareekh-e-ahd-e-rafta = history of past, bygone age, era, epoch,
Bil-ikhtisaar = in short,
No comments:
Post a Comment