Showing posts with label Qaisar-ul-jafri. Show all posts
Showing posts with label Qaisar-ul-jafri. Show all posts

Tuesday, June 19, 2018

Zulf Ghata Ban Kar Rah Jaaye Aankh Kanwal Ho Jaaye

Zulf ghata ban kar rah jaaye aankh kanwal ho jaaye,
Shayad un ko pal bhar sochein aur ghazal ho jaaye..

Jis dipak ko haath laga do jalein hazaaron saal,
Jis kuttiya mein raat bita do taj-mahal ho jaaye..

Kitni yaadein aa jaati hain dastak diye baghair,
Ab aisi bhi kya veerani ghar jangal ho jaaye..

Tum aao to pankh laga kar ud jaate ye shaam,
Meelo'n lambi raat simat kar pal do pal ho jaaye.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Zehn Mein Kaun Se Aaseb Ka Dar Baandh Liya

Zehn mein kaun se aaseb ka dar baandh liya,
Tum ne poochha bhi nahin rakht-e-safar baandh liya..

Be-makaani ki bhi tahzeeb hua karti hai, 
Un parindon ne bhi ek ek shajar baandh liya..

Raaste mein kahin gir jaaye to majboori hai,
Main ne daaman-e-darida mein hunar baandh liya..

Apne daaman pe nazar kar mere haathon pe na ja,
Main ne pathraao kiya tu ne samar baandh liya..

Ghar khula chhorh ke chupke se nikal jaaunga,
Shaam hi se sar-o-samaan-e-sahar baandh liya..

Umr bhar main ne bhi saahil ke qaside likkhe,
Mere bachchon ne bhi ek ret ka ghar baandh liya..

Haar bedard hawaon se na maani 'Qaisar',
Baadbaan phenk ke qadmon se bhanwar baandh liya.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Zakhmon Ko Marham Kahta Hun Qaatil Ko Masiha Kahta Hun

Zakhmon ko marham kahta hun qaatil ko masiha kahta hun,

Jo dil par guzra karti hai main parda parda kahta hun..

Zulfon ko ghataaen kahta hun rukhsaar ko shoala kahta hun,

Tum jitne achchhe lagte ho main us se achchha kahta hun..

Ab reet yahi hai duniya ki tum bhi na bano begana kahin,

ilzaam nahin dharta tum par ek ji ka dhdakna kahta hun..

Arbaab-e-chaman jo kahte hain wo naam mujhe maloom nahin,

Jis shaakh pe koi phool na ho main us ko tamanna kahta hun..

'Qaisar' wo nawa la-haasil hai jo aa ke labo'n par lahraye,

Chhu le jo dilo'n ki gahraai main us ko naghma kahta hun.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Yoon Badi Der Se Paimana Liye Baitha Hun

Yoon badi der se paimana liye baitha hun,
Koi dekhe to ye samjhe ki piye baitha hun..

Aakhiri naaw na aai to kahaan jaaunga,
Shaam se paar utarne ke liye baitha hun..

Mujh ko maloom hai sach zahar lage hai sab ko,
Bol sakta hun magar honth siye baitha hun..

Log bhi ab mere darwaze pe kam aate hain,
Main bhi kuchh soch ke zanjeer diye baitha hun..

Zindagi bhar ke liye rooth ke jaane waale,
Main abhi tak teri tasveer liye baitha hun..

Kam se kam ret se aankhein to bachengi 'Qaisar',
Main hawaon ki taraf peeth kiye baitha hun.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Ye Zindagi Hai Ke Aaseb Ka Safar Hai Miyaan

Ye zindagi hai ke aaseb ka safar hai miyaan,
Charaagh le ke nikalna bada hunar hai miyaan..

Pata chale jo mohabbat ka dard le ke chalo,
Mere makaan ki gali kitni mukhtasar hai miyaan..

Nahayengi meri zau mein hazaar-ha sadiyaan,
Main wo charaagh nahin hun jo raat bhar hai miyaan

Tumhaari raat pe itna hi tabsira hai bahut,
Makeen andhere mein hain chaandni mein ghar hai miyaan..

Likha hai waqt ne sadiyon safar ke baad use,
Ye daur jhooth sahi phir bhi mo'atabar hai miyaan..

Milegi raakh na tum ko humare chehre par,
Badan mein rah ke sulagna bada hunar hai miyaan..

Ab intizaar ki taaqat nahin rahi 'Qaisar',
Kuchh aur roz na socha to sab khandar hai miyaan.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Wo Ek Khema-e-shab Jis Ka Naam Duniya Tha

Wo ek khema-e-shab jis ka naam duniya tha,
Kabhi dhuan to kabhi chaandni sa lagta tha..

Humari aag bhi taapi humein bujha bhi diya,
Jahaan padaaw kiya tha ajeeb sahra tha..

Hawa mein meri ana bheegti rahi warna,
Main aashiyane mein barsaat kaat sakta tha..

Jo aasman bhi toota gira meri chhat par,
Mere makaan se kisi bad-dua ka rishta tha..

Tum aa gaye ho khuda ka suboot hai ye bhi,
Qasam khuda ki abhi main ne tum ko socha tha..

Zameen pe toot ke kaise gira ghuroor us ka,
Abhi abhi to use aasman pe dekha tha..

Bhanwar lapet ke neeche utar gaya shayad,
Abhi wo shaam se pahle nadi pe baitha tha..

Main shaakh-e-zard ke maatam mein rah gaya 'Qaisar',
Khizaa'n ka zahar shajar ki jado'n mein phaila tha.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Toote Hue Khwabon Ki Chubhan Kam Nahin Hoti

Toote hue khwabon ki chubhan kam nahin hoti,
Ab ro ke bhi aankhon ki jalan kam nahin hoti..

Jitne bhi ghanere hon teri zulf ke saaye,
Ek raat mein sadiyon ki thakan kam nahin hoti..

Honthon se piyen chaahe nigaahon se churayen,
Zaalim teri khushbu-e-badan kam nahin hoti..

Milna hai to mil jao yahin hashr mein kya hai,
Ek umr mere waada-shikan kam nahin hoti..

'Qaisar' ki ghazal se bhi na tooti ye riwayat,
Is shahar mein na-qadri-e-fan kam nahin hoti.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Tumhaare Shahar Ka Mausam Bada Suhana Lage

Tumhaare shahar ka mausam bada suhana lage,
Main ek shaam chura loon agar bura na lage..

Tumhaare bas mein agar ho to bhool jao mujhe,
Tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage..

Jo doobna hai to itne sukoon se doobo,
Ke aas-paas ki lahron ko bhi pata na lage..

Wo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob,
Khuda kare unhein bazaar ki hawa na lage..

Na jaane kya hai kisi ki udaas aankhon mein,
Wo munh chhupa ke bhi jaaye to bewafa na lage..

Tu is tarah se mere saath bewafaai kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage.. 

Tum aankh moond ke pi jao zindagi 'Qaisar',
Ke ek ghoont mein mumkin hai bad-maza na lage.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Tum Se Do Harf Ka Khat Bhi Nahin Likkha Jaata

Tum se do harf ka khat bhi nahin likkha jaata,
Jao ab yoon bhi ta'alluq nahin toda jaata..

Dil ka ahwaal na poochho ke bahut roz hue,
Is kharaabe ki taraf main nahin aata jaata..

Tishnagi ne kabhi dariyaon se milne na diya,
Hum jidhar jaate usi raah mein sahra jaata..

Zindagi! rahne bhi de soch ki had hoti hai, 
Itna socha hai ke sadiyon mein na socha jaata..

Us ko andaaz-e-taghaful bhi na aaya ab tak,
Bhoolne hi ko sahi yaad to rakkha jaata..

Haye wo daur ke aansu bhi na the aankhon mein,
Aur chehra tha ke be-roye bhi bheega jaata..

Bhoolta hi nahin wo marhala-e-raaz-o-niyaaz,
Hum manate to koi aur bhi roothha jaata..

Pas-e-deewar ka manzar bhi gaya apne saath,
Sahn-e-veeraa'n se patthar kahaan phenka jaata..

Shaam hote hi koi shama jala rakhni thi,
Jab dareeche se hawa aati to dekha jaata..

Raushni apne gharondon mein chhupi thi warna,
Shahr ke shahr pe shab-khoon na maara jaata..

Itne aansu meri aankhon mein kahaan the 'Qaisar',
Umr bhar dal ke janaze pe jo roya jaata.!!

"Qaisar-ul-jafri"
__________

Shab-khoon = ambush at night,

Tu Apne Phool Se Honthon Ko Rayegaan Mat Kar

Tu apne phool se honthon ko rayegaa'n mat kar,
Agar wafa ka irada nahin to haan mat kar..

Tu meri shaam ki palkon se raushni mat chheen,
Jahaan charagh jalaye wahaan dhuan mat kar..

Phir is ke baad to aankhon ko sang hona hai,
Mili hai fursat-e-girya to rayegaa'n mat kar..

Chhalak raha hai tere dil ka dard chehre se,
Chhupa chhupa ke mohabbat ko dastaan mat kar..

Tu jaate jaate na de mujh ko zindagi ki dua,
Main ji sakunga tere baad ye gumaa'n mat kar.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Teri Gali Mein Tamasha Kiye Zamana Hua

Teri gali mein tamasha kiye zamana hua,
Phir is ke baad na aana hua na jaana hua..

Kuchh itna toot ke chaaha tha mere dil ne use,
Wo shakhs meri murawwat mein bewafa na hua..

Hawa khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi,
Humin ko shama jalane ka hausla na hua..

Mere khuloos ki saiqal-gari bhi haar gayi,
Wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua..

Main zahar peeta raha zindagi ke haathon se,
Ye aur baat hai mera badan hara na hua.. 

Shaoor chahiye tarteeb-e-khaar-o-khas ke liye,
Qafas ko tod ke rakkha to aashiyana hua.. 

Humare gaanw ki mitti hi ret jaisi thi,
Ye ek raat ka sailaab to bahana hua..

Kisi ke saath gayin dil ki dhadkanein 'Qaisar',
Phir is ke baad mohabbat ka haadsa na hua.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Monday, June 18, 2018

Teri Bewafaai Ke Baad Bhi Mere Dil Ka Pyaar Nahin Gaya

Teri bewafaai ke baad bhi mere dil ka pyaar nahin gaya,

Shab-e-intizaar guzar gai ghum-e-intizaar nahin gaya..

Main samandaron ka naseeb tha mera diobna bhi ajeeb tha,

Mere dil ne mujh se bahut kaha main utar ke paar nahin gaya..

Tu mera shareek-e-safar nahin mere dil se door magar nahin,

Teri mamlikat na rahi magar tera ikhtiyaar nahin gaya..

Use itna socha hai roz o shab ke sawaal-e-deed raha na ab,

Wo gali bhi zer-e-tawaaf hai jahaan ek baar nahin gaya..

Kabhi koi waada wafa na kar yunhi roz roz bahana kar,

Tu fareb de ke chala gaya tera aitibaar nahin gaya..

Mujhe us ke zarf ki kya khabar kahin aur ja ke hanse agar,

Mere haal-e-dil pe to roye bin koi ghum-gusaar nahin gaya..

Use kya khabar ke shikastagi hai junoon ki manzil-e-aagahi,

Jo mata-e-shisha-e-dil liye sar-e-ku-e-yaar nahin gaya..

Meri zindagi meri shayeri kisi ghum ki den hai 'Jafri',

Dil o jaan ka qarz chuka diya main gunahgaar nahin gaya.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Shahr-e-ghazal Mein Dhool Udegi Fan Banjar Ho Jayega

Shahr-e-ghazal mein dhool udegi fan banjar ho jayega,
Jis din sookhe dil ke aansu sab patjhad ho jayega..

Tootengi jab neend se palkein so jaaunga chupke se,
Jis jangal mein raat padegi mera ghar ho jayega..

Khwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par,
Shaam dhhalegi aur sannata shaakhon par ho jayega..

Raat qalam le ke aayegi itni siyahi chhidkegi,
Din ka saara manzar-naama be-manzar ho jayega..

Dil ki kashti ek taraf hai laakhon duaen ek taraf,
Sookha to kya ghum ka dariya chullu bhar ho jayega..

'Qaisar' ro lo ghazlein kah lo baaqi hai kuchh dard abhi,
Agli ruto'n mein yun lagta hai sab patthar ho jayega.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Phir Mere Sar Pe Kadi Dhoop Ki Bauchhaar Giri

Phir mere sar pe kadi dhoop ki bauchhaar giri,
Main jahaan ja ke chhupa tha wahin deewar giri..

Log qisto'n mein mujhe qatl karenge shayad,
Sab se pahle meri aawaz pe talwaar giri..

Aur kuchh der meri aas na tooti hoti,
Aakhiri mauj thi jab haath se patwaar giri..

Agle waqto'n mein sunenge dar-o-deewar mujhe,
Meri har cheekh mere ahd ke us paar giri..

Khud ko ab gard ke tufaan se bachao 'Qaisar',
Tum bahut khush the ke hum-saate ki deewar giri.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Na Sawaal-e-jaam Na Zikr-e-may Usi Baankpan Se Chale Gaye

Na sawaal-e-jaam na zikr-e-may usi baankpan se chale gaye,

Tera zarf dekh ke tishna-lab teri anjuman se chale gaye..

Kabhi tu ne socha bhi subah-e-nau ke tamaam raat guzaar ke,

Jinhein das gayi teri raushni wo kahaan watan se chale gaye..

Mujhe dhun ke kaakul-e-zindagi jo bikhar gayi hai sanwaar dun,

Tumhein ghum ke ishq ke tazkire mere sher-o-fan se chale gaye..

Tere gesuon se azeez thin jinhein kayenaat ki uljhanein,

Tera ghum samet ke rooh mein teri anjuman se chale gaye..

Mere dil ko 'Qaisar'-e-be-nawa koi ghum shikast na de saka,

Ke ulajh ke saikdon haadse mere baankpan se chale gaye.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Musafiron Ka Kabhi Aitibaar Mat Karna

Musafiron ka kabhi aitibaar mat karna,
Jahaan kaha tha wahaan intizaar mat karna..

Mein neend hun meri had hai tumhaari palkon tak,
Badan jala ke mera intizaar mat karna..

Mein bach gaya hun magar saare khwab doob gaye,
Meri tarah bhi samandar ko paar mat karna..

Baha lo apne shaheedon ki qabr par aansu,
Magar ye hukm hai katbe shumaar mat karna..

Hawa azeez hai lekin ye us ki zid kya hai,
Tum apne ghar ke charaghon ko pyaar mat karna..

Ye waqt band dareechon pe likh gaya 'Qaisar',
Main ja raha hun mera intizaar mat karna.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Kaaghaz Kaaghaz Dhool Udegi Fan Banjar Ho Jayega

Kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jayega,
Jis din sookhe dil ke aansu sab patthar ho jayega..

Tootengi jab neend se palkein so jaaunga chupke se,
Jis jangal mein raat padegi mera ghar ho jayega..

Khwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par,
Shaam dhalegi aur sannata shaakhon par ho jayega..

Raat qalam le kar aayegi itni siyahi chhidkegi,
Din ka saara manzar-naama be-manzar ho jayega..

Nakhun se bhi int kuredein mil-jul kar hum-saaye to,
Aangan ki deewar na toote lekin dar ho jayega..

'Qaisar' ro lo ghazlein kah lo baaqi hai kuchh dard abhi,
Agli ruto'n mein yun lagta hai sab patthar ho jayega.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Kaaghaz Kaaghaz Dhool Udegi Fan Banjar Ho Jayega

Kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jayega,
Jis din sookhe dil ke aansu sab patthar ho jayega..

Tootengi jab neend se palkein so jaaunga chupke se,
Jis jangal mein raat padegi mera ghar ho jayega..

Khwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par,
Shaam dhalegi aur sannata shaakhon par ho jayega..

Raat qalam le kar aayegi itni siyahi chhidkegi,
Din ka saara manzar-naama be-manzar ho jayega..

Nakhun se bhi int kuredein mil-jul kar hum-saaye to,
Aangan ki deewar na toote lekin dar ho jayega..

'Qaisar' ro lo ghazlein kah lo baaqi hai kuchh dard abhi,
Agli ruto'n mein yun lagta hai sab patthar ho jayega.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Itna Sannata Hai Basti Mein Ke Darr Jayega

Itna sannata hai basti mein ke darr jayega,
Chaand nikla bhi to chup-chaap guzar jayega..

Kya jhabar thi ke hawa tez chalegi itni,
Saara sahra mere chehre pe bikhar jayega..

Hum kisi mod pe ruk jayenge chalte chalte,
Raasta toote hue pul pe thehar jayega..

Badbaano'n ne jo ahsaan jataya us par,
Beech dariya mein wo kashti se utar jayega..

Chalte rahiye ke saf-e-hum-safaraa'n lambi hai,
Jis ko raste mein theharna hai thehar jayega..

Dar-o-deewar pe sadiyon ki kohr chhaai hai,
Ghar mein suraj bhi jo aaya to thithur jayega..

Fan wo jugnu hai jo udta hai hawa mein 'Qaisar',
Band kar loge jo mutthi mein to mar jayega.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Is Daur Ki Palkon Pe Hain Aansu Ki Tarah Hum

Is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum,
Kuchh der mein ud jayenge khushbu ki tarah hum..

Badh kar kisi daaman ne bhi hum ko na sambhaala,
Aankhon se tapakte rahe aansu ki tarah hum..

Kis phoil se bichhde hain ke phirte hain pareshaan,
Jangal mein bhatakti hui khushbu ki tarah hum..

Ab din ke ujaale mein humein kaun pukaare,
Chamke the kabhi raat mein jugnu ki tarah hum..

Har mod pe aayin tere daaman ki hawaaen,
Har chhaanw ko samjhe tere gesu ki tarah hum..

'Qaisar' humein duniya ne samajh kar bhi na samjha,
Uljhe hi rahe kaakul-e-urdu ki tarah hum.!!

"Qaisar-ul-jafri"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...