Falsafe ishq mein pesh aaye sawaalon ki tarah,
Hum pareshaan hi rahe apne khyaalon ki tarah..
Shisha-gar baithe rahe zikr-e-masiha le kar,
Aur hum toot gaye kaanch ke pyaalon ki tarah..
Jab bhi anjaam-e-mohabbat ne pukara khud ko,
Waqt ne pesh kiya hum ko misaalon ki tarah..
Zikr jab hoga mohabbat mein tabaahi ka kahin,
Yaad hum aayenge duniya ko hawaalon ki tarah.!!
"Sudarshan Faakir"
No comments:
Post a Comment