Thursday, June 28, 2018

Wo Yoon Mila Ke Ba-zaahir Khafa Khafa Sa Laga

Wo yoon mila ke ba-zaahir khafa khafa sa laga,
Na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga...

Mizaaj us ne na poochha magar salaam liya,
Ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuchh bhala sa laga...

Ghubaar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre,
Khud apna shahar bhi mujh ko naya naya sa laga...

Ghuti ghuti si lagi raat anjuman ki faza,
Charaagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga...

Jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho,
Fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga...

Majaal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise,
Jo lafz honthon pe aaya dara dara sa laga...

Main ghar se chal ke akela yahaan tak aaya hun,
Jo hum-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga...

Isi ka naam hai shaaistagi o paas-e-wafa,
Palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga...

Kuchh is khuloos se us ne kaha mujhe 'Iqbal'
Khud apna naam bhi mujh ko bada bada sa laga.!!

"Iqbal Azeem"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...