Allah re yaadon ki ye anjuman-araai,
Hanste hue ghum-khaane mahki hui tanhaai..
Kuchh talkh haqaaiq ne ma'amool badal daale,
Apnon se kam-aamezi ghairon se shanasaai..
Ye kaun sa aalam hai afsurda-mizaaji ka,
Gulshan mein bhi veerani mahfil mein bhi tanhaai..
'Iqbal' jidhar dekho zulmaat ke pahre hain,
Aasaan-talbi hum ko kis mod pe le aai.!!
"Iqbal Azeem"
__________
Anjuman-araai = arranging an assembly,
Ma'amool = habit, custom, practice, fixed allowance,
Kam-aamezi = mixing less,
Aasaan-talbi = ease-living,
No comments:
Post a Comment