Showing posts with label Two Lines Poetry. Show all posts
Showing posts with label Two Lines Poetry. Show all posts

Wednesday, June 9, 2021

Kam kijiye huzoor tamazat mizaaj ki,

Kam kijiye huzoor tamazat mizaaj ki, 
Aatey nahi parindey bhi tapti munder par! 

کم کیجیے حضور تمازت مزاج کی
آتے نہیں پرندے بھی تپتی منڈیر پر 
_________________________

Thursday, June 3, 2021

Kabhi Aitbaar-e-ulfat Kabhi Hum Se Bad-gumani,

Kabhi Aitbaar-e-ulfat Kabhi Hum Se Bad-gumani, 
Teri Ye Bhi Mehrbaani, Teri Wo Bhi Mehrbaani! 

‏کبھی اِعتــــبارِ اُلفت ، کبھـی ہم ســے بَد گُمانی

تیری یہ بھی مِہـربانی ، تیری وہ بھی مِہـربانی 
____________________________

Wednesday, May 20, 2020

Ab Ke Ye Soch Ke Beemar Pade Hain Ke Humein

Ab Ke Ye Soch Ke Beemar Pade Hain Ke Humein, 
Theek Hona Hi Nahi Teri Ayadat Ke Baghair! 

‏اب کے یہ سوچ کے بیمار پڑے ہیں کہ ہمیں

ٹھیک ہونا ہی نہیں __تیری عیادت کے بغیر

Tuesday, May 19, 2020

Apne Kirdaar Ko Mausam Se Bachaye Rakhna

Apne Kirdaar Ko Mausam Se Bachaye Rakhna, 
Laut Kar Phool Mein Waapas Nahi Aati Khushbu! 

अपने किरदार को, मौसम से बचाये रखना,
लौट कर फूल में, वापस नहीं आती ख़ुश्बू! 

Muqarrar Kar Diye Jaate Hai Sauda-sulf Laane Par

Muqarrar Kar Diye Jaate Hain Sauda-sulf Laane Par, 
Meri Basti Ke Boodhe Jab Kamaana Chhod Dete Hain! 

मुक़रर्र कर दिये जाते हैं, सौदा-सुल्फ लाने पर,
मेरी बस्ती के बूढ़े, जब कमाना छोड़ देते हैं..!!

Dariya Ki Dahleez Pe Baithi Soch Rahi Hain Ye Aankhein

Dariya Ki Dahleez Pe Baithi Soch Rahi Hain Ye Aankhein, 
Kitna Waqt Lagega Aakhir Saare Khwaab Bahaane Mein! 

दरिया की देहलीज़ पे बैठी, सोच रही हैं ये आंखें,
कितना वक़्त लगेगा आख़िर, सारे ख़्वाब बहाने में! 

Andaaz-e-bayaan Rang Badal Deta Hai Warna

Andaaz-e-bayaan Rang Badal Deta Hai Warna, 
Duniya Mein Koi Baat Nayi Baat Nahi Hai! 

अंदाज़े-बयां, रंग बदल देता है वरना,
दुनिया में कोई बात, नई बात नहीं हैं! 

Sabab Talaash Karo Apne Haar Jaane Ka

Sabab Talaash Karo Apne Haar Jaane Ka, 
Kisi Ki Jeet Pe Rone Se Kuch Nahi Hoga! 

सबब तलाश करो, अपने हार जाने का, 
किसी की जीत पे, रोने से कुछ नहीं होगा! 

Lazzat-e-wasl Se Bhi Badh Ke Maza Aayega

Lazzat-e-wasl Se Bhi Badh Ke Maza Aayega, 
Apni Tanhaai Se Dil Apna Laga Kar Dekho! 

लज़्ज़ते-वस्ल से भी, बढ़ के मज़ा आयेगा,
अपनी तन्हाई से, दिल अपना लगाकर देखो! 

Majboori-e-halaat Hi Zanjeer Hai Warna

Majboori-e-halaat Hi Zanjeer Hai Warna, 
Pinjre Mein Parinde Kabhi Be-par Nahi Hote! 

मजबूरी-ए-हालात ही, ज़ंजीर है वरना,
पिंजरे में परिंदे, कभी बे-पर नहीं होते! 


Sunday, March 1, 2020

Us Ko Bhi Paarsaai Ka Apni Khumaar Hai

उस को भी पारसाई का अपनी ख़ुमार है, 
मुझ को भी ये ग़ुरूर कि अच्छा नहीं हूँ मैं! 

اُس کو بھی پارسائی کا اپنی خمار ہے 
مجھ کو بھی یہ غرور کہ اچھی نہیں ہوں میں ....... 🔥

Wednesday, October 30, 2019

Ab To Main Chhod Chuka Kooza-gari Warna

Ab To Main Chhod Chuka Kooza-gari Warna, 
Tere Jaise To Mein Mitti Ke Bana Leta Tha! 

अब तो में छोड़ चुका कूज़ा-गरी वरना, 
तेरे जैसे तो में मिट्टी के बना लेता था। 

اب تو میں چھوڑ چکا کوزہ گری ورنہ ۔۔۔۔
تیرے جیسے تو میں مٹی کے بنا لیتا تھا۔۔۔

Hum Ne Aankhon Mein Us Ki Surat Ko

Hum Ne Aankhon Mein Us Ki Surat Ko, 
Aise Rakkha Hai Jaise beenaai.! 


ھم نے آنکھوں میں 
اسکی صورت کو
ایسے رکھا ہے۔۔ جیسے۔۔۔۔بینائی

Thursday, October 24, 2019

Wednesday, August 21, 2019

Jaane Kis Waqt Achanak Usey Yaad Aa Jaaye

Jaane Kis Waqt Achanak Use Yaad Aa Jaaye,
Maine Ye Soch Ke Number Nahi Badla Apna!

जाने किस वक़्त अचानक उसे याद आ जाए,
मैंने ये सोच के नम्बर नहीं बदला अपना।

‏جانے کس وقت اچانک اُسے یاد آ جائے

مَیں نے یہ سوچ کے نمبر نہیں بدلا اپنا..

Ab Kahaan Ho Ke Main Bejaan Hui Jaati Hun

Ab Kahaan Ho? Ke Main Bejaan Hui Jaati Hun,
Ai Mohabbat Se Mujhe Jaan Bulaane Waale.!

अब कहाँ हो? कि मैं बेजान हुई जाती हूँ,
ऐ मौहब्बत से मुझे जान बुलाने वाले।।

اب کہاں ہو؟ کہ میں بے جان ہوئی جاتی ہوں
اے محبت سے  مجھے جان  بلانے  والے..

Wednesday, August 14, 2019

Teri Judaai Mein Haal-e-dil Ye Hai

Teri Judaai Mein Haal-e-dil Ye Hai,
Khud Ko Khud Se Bhi Khafa Rakkha Hai.!

تیری جدائی میں حالِ دل یہ ہے
خود کو خود سے بھی خفا رکھا ہے.. .

Tuesday, August 13, 2019

Tumhare Saath Bigadne Pe Kuch Malaal Nahi

Tumhare Saath Bigadne Pe Kuch Malaal Nahi,
Humaari Ek Zamaane Se Baat Bigdi Hai.!

تمھارے ساتھ بگڑنے پہ کچھ ملال نہیں
ہماری اک زمانے سے------- بات بگڑی ہے-

Thursday, July 25, 2019

Haye Tujh Ko Bhi Meri Zaat Se Humdardi Hai

Haye Tujh Ko Bhi Meri Zaat Se Humdardi Hai, 
Yaar Tujh Se To Mohabbat Ki Tawaqqo Thi Mujhe.!

ہاۓ تجھ کو بھی مری ذات سے ہمدردی ہے! 
یار تجھ سے تو محبت کی توقع تھی مجھے...

Tuesday, July 16, 2019

Hum Sarphiron Se Koi Tawaqqo Na Kijiye

Hum Sar-phiron Se Koi Tawaqqo Na Kijiye,
Ghusse Mein Chal Padenge Mohabbat Pe Thook Kar.!

ہم سر پھروں سے کوئی توقع نہ کیجیئے
غصے میں چل پڑیں گے محبت پہ تھوک کر... 

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...