Thursday, June 28, 2018

Tarab-zaaro'n Pe Kya Beeti Sanam-khaanon Pe Kya Guzri

Tarab-zaaro'n pe kya beeti sanam-khaanon pe kya guzri,
Dil-e-zinda mere marhoom armaanon pe kya guzri..

Zameen ne khoon ugla aasman ne aag barsaai,
Jab insaanon ke din badle to insaanon pe kya guzri..

Humein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi,
Unhein ye ghum ke un se chhut ke deewanon pe kya guzri..

Mera ilhaad to khair ek laanat tha so hai ab tak,
Magar is aalam-e-wahshat mein imaanon pe kya guzri..

Ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jaata,
Siyah-khaanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri..

Chalo wo kufr ke ghar se salamat aa gaye lekin,
Khuda ki mumlikat mein sokhta-jaanon pe kya guzri.!!

"Sahir Ludhianwi"
__________

Tarab-zaaro'n = music places,
Ilhaad = apostasy, heresy, atheism,
Aalam-e-wahshat = state of frenzy,
Sokhta-jaanon = heart-burnt,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...