Saturday, June 30, 2018

Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut

Ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut,
In dinon khud se bichhad jaane ka dhadka hai bahut..

Raat ho din ho ke ghaflat ho ke bedaari ho,
Us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut..

Tishnagi ke bhi maqamaat hain kya kya yaani,
Kabhi dariya nahin kaafi kabhi qatra hai bahut..

Mere haathon ki lakeeron ke izaafe hain gawaah,
Main ne patthar ki tarah khud ko tarasha hai bahut..

Koi aaya hai zaroor aur yahaan thehra bhi hai,
Ghar ki dahleez pe ai 'Noor' ujala hai bahut.!!

"Krishn Bihari Noor"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...