Posts

Showing posts from August, 2018

Dard Se Mere Hai Tujh Ko Be-qaraari Haye Haye

Dard se mere hai tujh ko be-qaraari haye haye, Kya hui zaalim teri ghaflat-shiaari haye haye.. Tere dil mein gar na tha aashob-e-ghum ka hausla, Tu ne phir kyun ki thi meri ghum-gusaari haye haye.. Kyun meri ghum-khwargi ka tujh ko aaya tha khyaal, Dushmani apni thi meri dost-daari haye haye.. Umr bhar ka tu ne paimaan-e-wafa baandha to kya, Umr ko bhi to nahin hai payedaari haye haye.. Zahar lagti hai mujhe aab-o-hawa-e-zindagi, Yaani tujh se thi ise na-saazgaari haye haye.. Gul-fishaani-ha-e-naaz-e-jalwa ko kya ho gaya, Khaak par hoti hai teri laala-kaari haye haye.. Sharm-e-ruswaai se ja chhupna naqaab-e-khaak mein, Khatm hai ulfat ki tujh par parda-daari haye haye.. Khaak mein naamoos-e-paimaan-e-mohabbat mil gayi, Uth gayi duniya se rah-o-rasm-e-yaari haye haye.. Haath hi tegh-aazma ka kaam se jaata raha, Dil pe ek lagne na paaya zakhm-e-kaari haye haye.. Kis tarah kaate koi shab-ha-e-taar-e-barshigaal, Hai nazar khu-karda-e-akhtar-shumaari haye haye.. Gosh mah

Dard Minnat-kash-e-dawa Na Hua

Dard minnat-kash-e-dawa na hua, Main na achchha hua bura na hua.. Jama karte ho kyun raqeebon ko, Ek tamasha hua gila na hua.. Hum kahaan qismat aazmane jaayen, Tu hi jab khanjar-aazma na hua.. Kitne sheerin hain tere lab ke raqeeb, Gaaliyan kha ke be-maza na hua.. Hai khabar garm un ke aane ki, Aaj hi ghar mein boriya na hua.. Kya wo namrood ki khudaai thi, Bandagi mein mera bhala na hua.. Jaan di, di hui usi ki thi, Haq to yoon hai ke haq ada na hua.. Zakhm gar dab gaya lahu na thama, Kaam gar ruk gaya rawa na hua.. Rahzani hai ke dil-sitaani hai, Le ke dil dil-sitaan rawana hua.. Kuchh to padhiye ke log kahte hain, Aaj 'Ghaalib' ghazal-sara na hua.!! "Munawwar Rana" _______________ Minnat-kash-e-dawa = Obliged To Medicine, Dil-sitaani = fascinating, alluring, Dil-sitaan = stealer of one's heart, Ghazal-sara = one who reads or recites Gazals, ____________________ درد منت کش دوا نہ ہوا میں نہ اچھا ہوا برا نہ ہوا.. جمع کرتے ہو کیوں رقی

Daaim Pada Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main

Daaim pada hua tere dar par nahin hun main, Khaak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main.. Kyun gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil, Insan hun piyala o saaghar nahin hun main.. Ya-rab zamana mujh ko mitata hai kis liye, Lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahin hun main.. Had chahiye saza mein uqubat ke waaste, Aakhir gunahgaar hun kaafir nahin hun main.. Kis waaste azeez nahin jaante mujhe, Laal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main.. Rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun daregh, Rutbe mein mahr-o-mah se kam-tar nahin hun main.. Karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye, Kya aasman ke bhi barabar nahin hun main.. 'Ghaalib' wazifa-khwaar ho do shaah ko dua, Wo din gaye ke kahte the naukar nahin hun main.!! "Mirza Ghalib" _______________ Daaim = eternal, Gardish-e-mudaam = eternal movement, Uqubat = punishment/ persecution, Laal = red gems, Zamurrad = emerald, green colored gem, Daregh = hesitation, pros and cons,  Wazifa-khwaar = pen

Kisi Ko De Ke Dil Koi Nawa-sanj-e-fughaa'n Kyun Ho

Kisi ko de ke dil koi nawa-sanj-e-fughaa'n kyun ho, Na ho jab dil hi seene mein to phir munh mein zabaan kyun ho.. Wo apni khu na chhodenge hum apni waz'a kyun chhodein, Subuk-sar ban ke kya poochhein ke hum se sargiraa'n kyun ho.. Kiya ghum-khwar ne ruswa lage aag is mohabbat ko, Na laawe taab jo ghum ki wo mera raaz-daan kyun ho.. Wafa kaisi kahaan ka ishq jab sar phodna thehra, To phir ai sang-dil tera hi sang-e-aastaa'n kyun ho.. Qafas mein mujh se rudaad-e-chaman kahte na darr humdam, Giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiyaa'n kyun ho.. Ye kah sakte ho hum dil mein nahin hain par ye batlao, Ke jab dil mein tumhin tum ho to aankhon se nihaa'n kyun ho.. Ghalat hai jazb-e-dil ka shikwa dekho jurm kis ka hai, Na kheencho gar tum apne ko kashakash darmiyaa'n kyun ho.. Ye fitna aadmi ki khana-veeraani ko kya kam hai, Hue tum dost jis ke dushman us ka aasmaan kyun ho.. Yahi hai aazmana to satana kis ko kahte hain, Adu ke ho liye jab tum to m

Hum Bhi Shikasta Dil Hain, Pareshaan Tum Bhi Ho

Hum bhi shikasta dil hain, pareshaan tum bhi ho, Andar se reza reza meri jaan tum bhi ho.! Hum bhi hain ek ujde hue shahr ki tarah, Aankhein bataa rahi hain ke veeraan tum bhi ho.! Darpesh hai humein bhi kadi dhoop ka safar, Saaye ki aarzuu main pareshaan tum bhi ho.! Hum bhi khizaa'n ki shaam ka aangan hain be-charaagh, Belein hain jis ki zard wo dalaan tum bhi ho.! Jaise kisi khyaal ka saaya hain do wajood, Hum bhi agar qayaas hain, imkaan tum bhi ho.! Mil jaayen hum to kaisa suhaana safar kate, Ghayal hain hum bhi, sokhta-samaan tum bhi ho.!! "Aitebaar Sajid" ____________________ ہم بھی شکستہ دل ہیں، پریشان تم بھی ہو اندر سے ریزہ ریزہ میری جان تم بھی ہو.. ہم بھی ہیں ایک اجڑے ہوئے شہر کی طرح آنکھیں بتا رہی ہیں کہ ویران تم بھی ہو.. درپیش ہے ہمیں بھی کڑی دھوپ کا سفر سائے کی آرزو میں پریشان تم بھی ہو.. ہم بھی خزاں کی شام کا آنگن ہیں، بے چراغ بیلیں ہیں جس کی زرد وہ دالان تم بھی ہو.. جیسے کسی خیال کا سایہ ہیں دو وجود ہم بھی اگر قیاس ہیں، امکان تم بھی ہ

Tu Na Aana Meri Ayadat Ko

Tu na aana meri ayadat ko, Tera ahsaan maar daalega.!  تو نہ آنا میری عیادت کو تیرا احسان-- مار ڈالے گا

Haalaat Ne Pathra Diye Dil Aise Humare

Haalaat Ne Pathra Diye Dil Aise Humare, Hote Nahi Ranjeeda Kisi Baat Pe Hum Log.!  حالات نے پتھرا دئيے دل ایسے ہمارے ہوتے نہیں رنجیدہ کسی بات پہ ہم لوگ

Tera Lams Riyazat Aankhon Ki

Tera Lams Riyazat Aankhon Ki Tera Naam Labo'n Ki Aadat Hai.!  تیرا لمس ریاضت آنکھوں کی تیرا نام لبوں کی عادت ہے

Koi Aawaaz Hi Nahi Deta

Koi Aawaaz Hi Nahi Deta, Kis Ki Aawaaz Pe Kahun, Aaya.! ‏کوئی آواز ہی نہیں دیتا کس کی آواز پر کہوں، آیا

Yunhi Mar Mar Ke Jiyen Waqt Guzaare Jaayein

Image
Yunhi Mar Mar Ke Jiyen Waqt Guzaare Jaayein, Zindagi Hum Tere Haathon Se Na Maare Jaayein.!! یونہی مر مر کے جئیں وقت گذارے جائیں زندگی ہم ترے ہاتھوں سے نہ مارے جائیں..

Ana Hawas Ki Dukaanon Mein Aa Ke Baith Gayi

Ana hawas ki dukaanon mein aa ke baith gayi, Ajeeb maina hai shikron mein aa ke baith gayi.. Jaga raha hai zamana magar nahin khultin, Kahaan ki neend in aankhon mein aa ke baith gayi.. Wo faakhta jo mujhe dekhte hi udti thi, Bade saleeqe se bachchon mein aa ke baith gayi.. Tamaam talkhiyan saaghar mein raqs karne lagin, Tamaam gard kitaabon mein aa ke baith gayi.. Tamaam shahar mein mauzu-e-guftugu hai yahi, Ke shahzaadi ghulaamon mein aa ke baith gayi.. Nahin thi doosri koi jagah bhi chhupne ki, Humari umr khilaunon mein aa ke baith gayi.. Utho ke os ki boondein jaga rahi hain tumhein, Chalo ke dhoop dareechon mein aa ke baith gayi.. Chali thi dekhne suraj ki bad-mizaaji ko, Magar ye os bhi phoolon mein aa ke baith gayi.. Tujhe main kaise bataaun ke shaam hote hi, Udaasi kamre ke taaqo'n mein aa ke baith gayi.!! "Munawwar Rana" ____________________ Shikron = falcons, ____________________ انا ہوس کی دکانوں میں آ کے بیٹھ گئی عجیب مینا ہے شکروں میں آ

Hanste Hue Maa baap Ki Gaali Nahin Khaate

Hanste hue maa-baap ki gaali nahin khaate, Bachche hain to kyun shauq se mitti nahin khaate.. Tum se nahin milne ka iraada to hai lekin, Tum se na milenge ye qasam bhi nahin khaate.. So jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar, Mazdoor kabhi neend ki goli nahin khaate.. Bachche bhi ghareebi ko samajhne lage shayad, Ab jaag bhi jaate hain to sahri nahin khaate.. Daawat to badi cheez hai hum jaise qalandar, Har ek ke paiso'n ki dawa bhi nahin khaate.. Allah ghareebon ka madad-gaar hai 'Rana', Hum logo'n ke bachche kabhi sardi nahin khaate.!! "Munawwar Rana" ____________________ ہنستے ہوئے ماں باپ کی گالی نہیں کھاتے بچے ہیں تو کیوں شوق سے مٹی نہیں کھاتے.. تم سے نہیں ملنے کا ارادہ تو ہے لیکن تم سے نہ ملیں گے یہ قسم بھی نہیں کھاتے.. سو جاتے ہیں فٹ پاتھ پہ اخبار بچھا کر مزدور کبھی نیند کی گولی نہیں کھاتے.. بچے بھی غریبی کو سمجھنے لگے شاید اب جاگ بھی جاتے ہیں تو سحری نہیں کھاتے.. دعوت تو بڑی چیز ہے ہم جیسے قلندر ہر ایک کے پیسوں کی دوا بھی نہیں

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahin Dekha

Kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha.. Tumhaare baad kisi ki taraf nahin dekha.! Ye soch kar ke tera intizaar laazim hai.. Tamam umr ghadi ki taraf nahin dekha.! Yahaan to jo bhi hai aab-e-rawaa'n ka aashiq hai.. Kisi ne khushk nadi ki taraf nahin dekha.! Wo jis ke waaste pardes ja raha hun main.. Bichhadte waqt usi ki taraf nahin dekha.! Na rok le humein rota hua koi chehra.. Chale to mud ke gali ki taraf nahin dekha.!  Bichhadte waqt bahut mutmaeen the hum dono'n.. Kisi ne mud ke kisi ki taraf nahin dekha.! Rawish buzurgon ki shaamil hai meri ghutti mein.. Zaruratan bhi sakhi ki taraf nahin dekha.!! "Munawwar Rana" ____________________ کبھی خوشی سے خوشی کی طرف نہیں دیکھا تمہارے بعد کسی کی طرف نہیں دیکھا.. یہ سوچ کر کہ ترا انتظار لازم ہے تمام عمر گھڑی کی طرف نہیں دیکھا.. یہاں تو جو بھی ہے آب رواں کا عاشق ہے کسی نے خشک ندی کی طرف نہیں دیکھا.. وہ جس کے واسطے پردیس جا رہا ہوں میں بچھڑتے وقت اسی کی طرف نہیں دیکھا.. نہ روک لے ہمیں روتا ہوا ک

Kaale Kapde Nahin Pahne Hain To Itna Kar Le

Kaale kapde nahin pahne hain to itna kar le, Ek zara der ko kamre mein andhera kar le.. Ab mujhe paar utar jaane de aisa kar le, Warna jo aaye samajh mein teri dariya kar le.. Khud-ba-khud raasta de dega ye tufaan mujhe, Tujh ko paane ka agar dil ye iraada kar le.. Aaj ka kaam tujhe aaj hi karna hoga, Kal jo karna hai to phir aaj taqaza kar le..  Ab bade logo'n se achchhai ki ummid na kar, Kaise mumkin hai karaila koi meetha kar le.. Gar kabhi rona hi pad jaaye to itna rona, Aa ke barsaat tere saamne tauba kar le.. Muddaton baad wo aayega humare ghar mein, Phir se ai dil kisi ummid ko zinda kar le.. Hum-safar laila bhi hogi main tabhi jaaunga, Mujh pe jitne bhi sitam karne hon sahra kar le.!! "Munawwar Rana" ____________________ کالے کپڑے نہیں پہنے ہیں تو اتنا کر لے اک ذرا دیر کو کمرے میں اندھیرا کر لے.. اب مجھے پار اتر جانے دے ایسا کر لے ورنہ جو آئے سمجھ میں تری دریا کر لے.. خودبخود راستہ دے دے گا یہ طوفان مجھے تجھ کو پانے کا اگر دل یہ ارادہ کر لے.

Khoon Rulwayegi Ye Jangal-parasti Ek Din

Khoon rulwayegi ye jangal-parasti ek din, Sab chale jayenge khaali kar ke basti ek din.. Choosta rahta hai ras bhaunra abhi tak dekh lo, Phool ne bhoole se ki thi sarparasti ek din.. Dene waale ne tabiyat kya ajab di hai use, Ek din khana-badoshi, ghar-girhasti ek din.. Kaise kaise log dastaaro'n ke maalik ho gaye, Bik rahi thi shahar mein thodi si sasti ek din.. Tum ko ai veeraniyon shayad nahin maloom hai, Hum banayenge isi sahra ko basti ek din.. Roz-o-shab hum ko bhi samjhaati hai mitti qabr ki, Khaak mein mil jayegi teri bhi hasti ek din.!! "Munawwar Rana" ____________________ خون رلوائے گی یہ جنگل پرستی ایک دن سب چلے جائیں گے خالی کر کے بستی ایک دن.. چوستا رہتا ہے رس بھونرا ابھی تک دیکھ لو پھول نے بھولے سے کی تھی سر پرستی ایک دن.. دینے والے نے طبیعت کیا عجب دی ہے اسے ایک دن خانہ بدوشی گھر گرہستی ایک دن..  کیسے کیسے لوگ دستاروں کے مالک ہو گئے بک رہی تھی شہر میں تھوڑی سی سستی ایک دن.. تم کو اے ویرانیوں شاید نہیں معلوم ہے ہم بنائیں گے اسی صحرا کو

Kisi Ghareeb Ki Barson Ki Aarzu Ho Jaaun

Kisi ghareeb ki barso'n ki aarzu ho jaaun, Main is surang se niklun to aab-ju ho jaaun.. Bada haseen taqaddus hai us ke chehre par, Main us ki aankhon mein jhaankun to ba-wazu ho jaaun.. Mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya, Wo aaina hai to main us ke ru-ba-ru ho jaaun.. Kisi tarah bhi ye veeraniyan hon khatm meri, Sharaab-khane ke andar ki haaw-hu jaaun.  Meri hatheli pe honthon se aisi mohr laga, Ke umr-bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaaun.. Kami zara si bhi mujh mein na koi rah jaaye, Agar main zakhm ki surat hun to rafu ho jaaun.. Naye mizaaj ke shahro'n mein ji nahin lagta, Puraane waqto'n ka phir se main lucknow ho jaaun.!! "Munawwar Rana" ____________________ کسی غریب کی برسوں کی آرزو ہو جاؤں میں اس سرنگ سے نکلوں تو آب جو ہو جاؤں.. بڑا حسین تقدس ہے اس کے چہرے پر میں اس کی آنکھوں میں جھانکوں تو با وضو ہو جاؤں.. مجھے پتہ تو چلے مجھ میں عیب ہیں کیا کیا وہ آئنہ ہے تو میں اس کے روبرو ہو جاؤں..  کسی طرح بھی یہ ویرانیاں ہوں ختم م

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aai

Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aai, Main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein maa aai.! Yahaan se jaane waala laut kar koi nahin aaya, Main rota rah gaya lekin na wapas ja ke maa aai.! Adhoore raaste se lautna achchha nahin hota, Bulaane ke liye duniya bhi aai to kahaan aai.! Kisi ko gaanw se pardes le jayegi phir shayad, Udaati rail-gaadi dhher saara phir dhuaan aai.! Mere bachchon mein saari aadatein maujood hain meri, To phir in bad-naseebon ko na kyun urdu zabaan aai.! Qafas mein mausamo'n ka koi andaaza nahin hota, Khuda jaane bahaar aai chaman mein ya khizaa'n aai.! Gharaunde to gharaunde hain chattaanein toot jaati hain, Udaane ke liye aandhi agar naam-o-nishaan aai.! Kabhi ai khush-naseebi mere ghar ka rukh bhi kar leti, Idhar pahunchi udhar pahunchi yahaan aai wahaan aai.!! "Munawwar Rana" ____________________ کسی کو گھر ملا حصے میں یا کوئی دکاں آئی میں گھر میں سب سے چھوٹا تھا مرے حصے میں ماں آئی.. یہاں سے جانے والا لوٹ

Mahfil Mein Aaj Marsiya-khwaani Hi Kyun Na Ho

Mahfil mein aaj marsiya-khwaani hi kyun na ho, Aankhon se bahne dijiye paani hi kyun na ho... Nashshe ka ehtimaam se rishta nahin koi, Paighaam us ka aaye zabaani hi kyun na ho.. Aise ye ghum ki raat guzarna muhaal hai,  Kuchh bhi suna mujhe wo kahani hi kyun na ho... Koi bhi saath deta nahin umr-bhar yahaan, Kuchh din rahegi saath jawani hi kyun na ho... Is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikal, Peene ko kuchh bhi chahiye paani hi kyun na ho... Duniya bhi jaise taash ke patton ka khel hai, Joker ke saath rahti hai raani hi kyun na ho... Tasveer us ki chahiye har haal mein mujhe, Paagal ho sar-phiri ho deewani hi kyun na ho... Sona to yaar sona hai chaahe jahaan rahe, Biwi hai phir bhi biwi puraani hi kyun na ho... Ab apne ghar mein rahne na denge kisi ko hum, Dil se nikaal denge nishani hi kyun na ho.!! "Munawwar Rana" ____________________ محفل میں آج مرثیہ خوانی ہی کیوں نہ ہو آنکھوں سے بہنے دیجیے پانی ہی کیوں نہ ہو.. نشے کا اہتمام سے رشتہ نہیں کوئی پ

Main Is Se Pahle Ke Bikhrun Idhar Udhar Ho Jaaun

Main is se pahle ke bikhrun idhar udhar ho jaaun, Mujhe sambhaal le mumkin hai dar-ba-dar ho jaaun.. Ye aab-o-taab jo mujh mein hai sab usi se hai, Agar wo chhod de mujh ko to main khandar ho jaaun.. Meri madad se khajooro'n ki fasl pakne lage, Main chahta hun ke sahra ki dopahar ho jaaun.. Main aas-paas ke mausam se hun tar-o-taaza, Main apne jhund se niklun to be-samar ho jaaun.. Badi ajeeb si hiddat hai us ki yaadon mein, Agar main chhu lun paseene se tar-ba-tar ho jaaun.. Main kachchi mitti ki surat hun tere haathon mein, Mujhe tu dhhaal de aise ki mo'atabar ho jaaun.. Bachi-khuchi hui saanson ke saath pahunchana, Suno hawao agar main shikasta-par ho jaaun.!! "Munawwar Rana" ____________________ میں اس سے پہلے کہ بکھروں ادھر ادھر ہو جاؤں مجھے سنبھال لے ممکن ہے در بدر ہو جاؤں.. یہ آب و تاب جو مجھ میں ہے سب اسی سے ہے اگر وہ چھوڑ دے مجھ کو تو میں کھنڈر ہو جاؤں.. مری مدد سے کھجوروں کی فصل پکنے لگے میں چاہتا ہوں کہ صحرا کی دوپہر ہو جاؤں.. میں آس پ

Pairo'n Ko Mere Deeda-e-tar Bandhe Hue Hai

Pairo'n ko mere deeda-e-tar bandhe hue hai.. Zanjeer ki surat mujhe ghar bandhe hue hai.! Har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra, Lagta hai koi meri nazar baandhe hue hai.! Bichhdenge to mar jayenge hum dono'n bichhad kar, Ek dor mein hum ko yahi darr baandhe hue hai.! Parwaaz ki taaqat bhi nahin baaqi hai lekin, Sayyaad abhi tak mere par baandhe hue hai.! Hum hain ke kabhi zabt ka daaman nahin chhoda, Dil hai ki dhadakne pe kamar baandhe hue hai.! Aankhein to use ghar se nikalne nahin deti, Aansu hai ke samaan-e-safar baandhe hue hai.! Phenki na 'Munawwar' ne buzurgon ki nishaani, Dastaar puraani hai magar baandhe hue hai.!! "Munawwar Rana" ____________________ پیروں کو مرے دیدۂ تر باندھے ہوئے ہے زنجیر کی صورت مجھے گھر باندھے ہوئے ہے.. ہر چہرے میں آتا ہے نظر ایک ہی چہرا لگتا ہے کوئی میری نظر باندھے ہوئے ہے.. بچھڑیں گے تو مر جائیں گے ہم دونوں بچھڑ کر اک ڈور میں ہم کو یہی ڈر باندھے ہوئے ہے.. پرواز کی طاقت بھی نہیں باقی ہے لیکن صیاد ا

Tumhaare Jism Ki Khushbu Gulo'n Se Aati Hai

Tumhaare jism ki khushbu gulo'n se aati hai, Khabar tumhaari bhi ab doosro'n se aati hai... Humin akele nahin jagte hain raato'n mein, Use bhi neend badi mushkilon se aati hai... Humari aankhon ko maila to kar diya hai magar, Mohabbato'n mein chamak aansuon se aati hai... Isi liye to andhere haseen lagte hain, Ke raat mil ke tere gesuon se aati hai... Ye kis maqaam pe pahuncha diya mohabbat ne, Ke teri yaad bhi ab koshisho'n se aati hai.!! "Munawwar Rana" ____________________   تمہارے جسم کی خوشبو گلوں سے آتی ہے خبر تمہاری بھی اب دوسروں سے آتی ہے.. ہمیں اکیلے نہیں جاگتے ہیں راتوں میں اسے بھی نیند بڑی مشکلوں سے آتی ہے.. ہماری آنکھوں کو میلا تو کر دیا ہے مگر محبتوں میں چمک آنسوؤں سے آتی ہے.. اسی لئے تو اندھیرے حسین لگتے ہیں کہ رات مل کے ترے گیسوؤں سے آتی ہے.. یہ کس مقام پہ پہنچا دیا محبت نے کہ تیری یاد بھی اب کوششوں سے آتی ہے..