Jo roz ki hai baat wahi baat karo ho,
Bekaar hi yaaro ghum-e-haalaat karo ho..
Ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai,
Auro'n pe to aksar hi inayaat karo ho..
Ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahaan se,
Honthon se jo ye phoolon ki barsaat karo ho..
Kyun chaand se chehre pe gira rakhi hain zulfein,
Kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho..
Be-wahm-o-gumaan rah mein mil jaate ho aksar,
Daanista kahaan mujh se mulaqaat karo ho.!!
"Jawed Naseemi"
No comments:
Post a Comment