Monday, June 25, 2018

Itna Be-aasra Nahin Hun Main

Itna be-aasra nahin hun main,
Aadmi hun khuda nahin hun main..

Hai abhi meri justuju jaari,
Yaani khud ko mila nahin hun main..

Main ne daawa kiya na hone ka,
Mujh ko maloom tha nahin hun main..

Nikal aaya main zaat se baahar,
Apne andar raha nahin hun main..

Main jo hun main bhi asl mein tum hun,
Meri jaan dusra nahin hun main..

Tum mujhe jaan hi nahin sakte,
Aks hun aaina nahin hun main..

Hun bura, maanta hun main lekin,
Is qadar bhi bura nahin hun main..

Dusron ki to baat hi hai alag,
Apna bhi ham-nawa nahin hun main..

Raaz-e-sar-basta ki tarah 'Sahir',
Abhi khud par khula nahin hun main.!!

"Parvez Sahir"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...