* Nazm *
__________
Raat sunsaan thi bojhal thin faza ki saansein,
Rooh par chhaye the be-naam ghumo'n ke saaye..
Dil ko ye zid thi ke tu aaye tasalli dene,
Meri koshish thi ke kambakht ko neend aa jaaye..
Der tak aankhon mein chubhti rahi taaro'n ki chamak,
Der tak zehn sulagta raha tanhaai mein..
Apne thukraye hue dost ki pursish ke liye,
Tu na aai magar us raat ki pahnaai mein..
Yoon achanak teri aawaz kahin se aai,
Jaise parbat ka jigar cheer ke jharna phoote..
Ya zameeno'n ki mohabbat mein tadap kar naagah,
Aasmano'n se koi shokh sitara toote..
Shahad sa ghul gaya talkhaba-e-tanhaai mein,
Rang sa phail gaya dil ke siyah-khaane mein..
Der tak yoon teri mastana sadaaen goonji'n,
Jis tarah phool chatakne lagein veeraane mein..
Tu bahut door kisi anjuman-e-naaz mein thi,
Phir bhi mahsoos kiya main ne ke tu aai hai..
Aur naghmo'n mein chhupa kar mere khoye hue khwab,
Meri roothi hui neendo'n ko mana laai hai..
Raat ki satah par ubhre tere chehre ke nuqoosh,
Wahi chup-chaap si aanhkein wahi saada si nazar..
Wahi dhhalka hua aanchal wahi raftaar ka kham,
Wahi rah rah ke lachakta hua naazuk paikar..
Tu mere paas na thi phir bhi sahar hone tak,
Tera har saans mere jism ko chhu kar guzra..
Qatra qatra tere deedar ki shabnam tapki,
Lamha lamha teri khushbu se moattar guzra..
Ab yahi hai tujhe manzoor to ai jaan-e-qaraar,
Main teri raah na dekhunga siyah raaton mein..
Dhundh lengi meri tarsi hui nazrein tujh ko,
Naghma o sher ki umdi hui barsaaton mein..
Ab tera pyaar satayega to meri hasti,
Teri masti bhari aawaz mein dhhal jayegi..
Aur ye rooh jo tere liye bechain si hai,
Geet ban kar tere honthon pe machal jayegi..
Tere naghmaat tere husn ki thandak le kar,
Mere tapte hue maahaul mein aa jayenge..
Chand ghadiyon ke liye hun ke hamesha ke liye,
Meri jaagi hui raaton ko sula jayenge.!!
"Sahir Ludhianwi"
__________
Talkhaba-e-tanhaai = bitterness of loneliness,