Wednesday, February 28, 2018

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rahti Hai

Raat ki dhadkan jab tak jaari rahti hai,
Sote nahin hum zimmedaari rahti hai,

Jab se tu ne halki halki baatein ki'n,
Yaar tabiyat bhaari bhaari rahti hai,

Paanw kamar tak dhans jaate hain dharti mein,
Haath pasaare jab khuddaari rahti hai,

Wo manzil par aksar der se pahunche hain,
Jin logo'n ke paas sawaari rahti hai,

Chhat se us ki dhoop ke neze aate hain,
Jab aangan mein chhanw humaari rahti hai,

Ghar ke baahar dhundhta rahta hun duniya,
Ghar ke andar duniya-daari rahti hai..!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...