Wednesday, February 28, 2018

Sar Par Saat Aakaash Zameen Par Saat Samandar Bikhre Hain

Sar par saat aakaash zameen par saat samandar bikhre hain,

Aankhein chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain,

Zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharaabe mein,

Wo bhi aksar toot gaya hai hum bhi aksar bikhre hain,

Us basti ke logon se jab baatein ki'n to ye jaana,

Duniya bhar ko jodne waale andar andar bikhre hain,

In raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai,

Neendein kamron mein jaagi hain khwaab chhaton par bikhre hain,

Aangan ke masoom shajar ne ek kahaani likkhi hai,

Itne phal shaakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain,

Saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain,

Aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...