Nadi ne dhoop se kya kah diya rawaani mein,
Ujaale paanw patakne lage hain paani mein,
Ye koi aur hi kirdaar hai tumhaari tarah,
Tumhaara zikr nahin hai meri kahaani mein,
Ab itni saari shabo'n ka hisaab kaun rakhe,
Bade sawaab kamaaye gaye jawaani mein,
Chamakta rahta hai sooraj-mukhi mein koi aur,
Mahak raha hai koi aur raat-raani mein,
Ye mauj mauj nayi halchalein si kaisi hain,
Ye kis ne paanw utaare udaas paani mein,
Main sochta hun koi aur karobaar karun,
Kitaab kaun khareedega is giraani mein..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment