Tuesday, February 27, 2018

Ja Ke Ye Kah De Koi Sholo'n Se Chingari Se

Ja ke ye kah de koi sholo'n se chingari se,
Phool is baar khile hain badi tayyaari se,

Apni har saans ko nilaam kiya hai main ne,
Log aasaan hue hain badi dushwaari se,

zahn mein jab bhi tere kgat ki ibaarat chamki,
Ek khushbu si nikalne lagi almaari se,

Shahzaade se mulaqaat to na-mumkin hai,
Chaliye mil aate hain chal kar kisi darbaari se,

Baadshaho'n se bhi phenke hue sikke na liye,
Hum ne khairaat bhi maangi hai to khuddari se..!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...