Yoon us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha,
Jaise koi sooraj ki tapish mein gul-e-tar tha...
Uthti thin darichon pe humaari bhi nigaahein,
Apna bhi kabhi shahar-e-nigaara'n mein guzar tha...
Hum jis ke taghaful ki shikayat ko gaye the,
Aankh us ne uthai to jahaan zer-o-zabar tha...
Shaano'n pe kabhi the tere bheege hue rukhsar,
Aankhon pe kabhi meri tarah daaman-e-tar tha...
Khushbu se mo'attar hai abhi tak wo guzar'gaah,
Sadiyon se yahaan jaise bahaaron ka nagar tha...
Hai un ke sarapa ki tarah khush-qad o khush-rang,
Wo sarw ka pauda jo sar-e-raahguzar tha...
Qatre ki taraai mein the tufaan ke nasheman,
Zarre ke ahaate mein bagulon ka bhanwar tha...
Is aadam-e-khaaki pe sitaaron ki nazar thi,
Is khaak pe kuchh jalwa-e-yazdaa'n ka asar tha...
Main roya to hansne ki sada aai kai yaar,
Wo jaan-e-tamanna pas-e-deewar-e-nazar tha,
"Danish" tha ikahra mera pairahan-e-hasti,
Be-parda zamane pe mera aib-o-hunar tha..!!
"Ehsaan Danish"
___
Shahar-e-nigaara'n = city where beloveds reside, embellished city,
Bagulon = whirlwind,
No comments:
Post a Comment