Tuesday, February 27, 2018

Apne Deewar-o-dar Se Poochhte Hain

Apne deewar-o-dar se poochhte hain,
Ghar ke haalaat ghar se poochhte hain,

Kyun akele hain qaafile waale,
Ek ek hum-safar se poochhte hain,

Kya kabhi zindagi bhi dekhenge,
Bas yahi umr-bhar se poochhte hain,

Jurm hai khwaab dekhna bhi kya,
Raat-bhar chashm-e-tar se poochhte hain,

Ye mulaqaat aakhiri to nahin,
Hum judaai ke darr se poochhte hain,

Zakhm ka naam phool kaise pada,
Tere dast-e-hunar se poochhte hain,

Kitne jangal hain in makaanon mein,
Bas yahi shahar bhar se poochhte hain,

Ye jo deewar hai ye kis ki hai,
Hum idhar wo udhar se poochhte hain,

Hain kaneezein bhi is mahal mein kya,
Shah-zaado'n ke darr se poochhte hain,

Kya kahin qatl ho gaya sooraj,
Raat se raat-bhar se poochhte hain,

Kaun waaris hai chhanw ka aakhir,
Dhoop mein hum-safar se poochhte hain,

Ye kinaare bhi kitne saada hain,
Kashtiyo'n ko bhanwar se poochhte hain,

Wo guzarta to hoga ab tanha,
Ek ek rahguzar se poochhte hain.!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...