Sunday, February 25, 2018

Ajeeb Shaam Dhhali Hai Kahin Se Aa Jao

Ajeeb Shaam Dhhali Hai Kahin Se Aa Jao,
Badi Udaas Ghadi Hai Kahin Se Aa Jao...

Kisi Se Yoon Milna Aur Mil Ke Bichhad Jaana,
Saza Ye Bahut Badi Hai Kahin Se Aa Jao...

Bada Kathin Hai Ye Hijr Ka Udaas Mausam,
Judaai Bol Padi Hai Kahin Se Aa Jao...

Zamana Samajhta Jise Motiyon Ki Chamak,
Wo Aansuon Ki Ladi Hai Kahin Se Aa Jao.!

عجیب شام ڈھلی ہے کہیں سے آ جاو
بڑی اُداس گھڑی ہے کہیں سے آ جاو

کسی سے یوں ملنا اور مل کے بچھڑ جانا
سزا یہ بہت بڑی ہے کہیں سے آ جاو

بڑا کٹھن ہے یہ ہجر کا اُداس موسم
جدائی بول پڑی ہے کہیں سے آ جاو

زمانہ سمجھتا جیسے موتیوں کی چمک
وہ آنسوؤں کی لڑی ہے کہیں سے آ جاو..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...