Tuesday, February 27, 2018

Chehro'n Ki Dhoop Aankho'n Ki Gahraai Le Gaya

Chehro'n ki dhoop aankho'n ki gahraai le gaya,
Aaina saare shahar ki beenaai le gaya,

Doobe hue jahaaz pe kya tabsira karein,
Ye haadsa to soch ki gahraai le gaya,

Haalanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha,
Jo shakhs mujh se chheen ke goyaai le gaya,

Main aaj apne ghar se nikalne na paaunga,
Bas ek qameez thi jo mera bhai le gaya,

'Ghaalib' tumhaare waaste ab kuchh nahin raha,
Galiyon ke saare sang to saudaai le gaya.!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...