Tuesday, February 27, 2018

Andar Ka Zahr Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye

Andar ka zahr choom liya dhul ke aa gaye,
Kitne shareef log the sab khul ke aa gaye,

Sooraj se jang jitne nikle the bewaqoof,
Saare sipaahi mom ke the ghul ke aa gaye,

Masjid mein door door koi doosra na tha,
Hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye,

Neendon se jang hoti rahegi tamaam umr,
Aankhon mein band khwaab agar khul ke aa gaye,

Sooraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli baar,
Aaine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye,

Anjaane saaye phirne lage hain idhar udhar,
Mausam humare shahar mein kabul ke aa gaye.!!

"Rahat Indori"
___
Taqaabul = encountering, standing face, to face,

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...