Saath manzil thi magar khauf-o-khatar aisa tha,
Umr-bhar chalte rahe log, safar aisa tha,
Jab wo aaye to main khush bhi hua sharminda bhi,
Meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha,
Hifz thin mujh ko bhi chehron ki kitabein kya kya,
Dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha,
Aag odhe tha magar baant raha tha saaya,
Dhoop ke shahar mein ek tanha shajar aisa tha,
Log khud apne charaghon ko bujha kar soye,
Shahar mein tez hawaaon ka asar aisa tha..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment