Wednesday, February 28, 2018

Shajar Hain Ab Samar-aasaar Mere

Shajar hain ab samar-aasaar mere,
Chale aate hain daawe'daar mere,

Muhajir hain na ab ansaar mere,
Mukhaalif hain bahut is baar mere,

Yahaan ek boond ka mohtaaj hun main,
Samandar hain samandar paar mere,

Abhi murdon mein roohein phoonk Daalein,
Agar chaahein to ye beemar mere,

Hawa'en odh kar soya tha dushman,
Gaye bekaar saare waar mere,

Main aa kar dushmanon mein bas gaya hun,
Yahaan humdard hain do-chaar mere,

Hansi mein taal dena tha mujhe bhi,
Khafa kyun ho gaye sarkaar mere,

Tasawwur mein na jaane kaun aaya,
Mahak utthe dar-o-deewar mere,

Tumhaara naam duniya jaanti hai,
Bahut ruswa hain ab ash'aar mere,

Bhanwar mein ruk gayi hai naaw meri,
Kinaare rah gaye is paar mere,

Main khud apni hifazat kar raha hun,
Abhi soye hain pahre-daar mere.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...