Sabab wo poochh rahe hain udaas hone ka,
Mera mizaaj nahin be-libaas hone ka,
Naya bahana hai har pal udaas hone ka,
Ye faaida hai tere ghar ke paas hone ka,
Mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par,
Bahana dhoondh raha hun udaas hone ka,
Main tere paas bata kis gharaz se aaya hun,
Suboot de mujhe chehra-shanaas hone ka,
Meri ghazal se bana zehn mein koi tasveer,
Sabab na poochh mere dewdas hone ka,
Kahaan ho aao meri bhooli-bisri yaadon aao,
Khush-aamdeed, hai mausam udaas hone ka,
Kayi dino'n se tabiyat meri udaas na thi,
Yahi jawaaz bahut hai udaas hone ka,
Main ahmiyat bhi samajhta hun qahqaho'n ki magar,
Maza kuchh apna alag hai udaas hone ka,
Mere labo'n se tabassum mazaaq karne laga,
Main likh raha tha qaseeda udaas hone ka,
Pata nahin ye parinde kahaan se aa pahunche,
Abhi zamana kahaan tha udaas hone ka,
Main kah raha hun ke ai dil idhar-udhar na bhatak,
Guzar na jaaye zamana udaas hone ka.!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment