Sunday, February 25, 2018

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

Faqeerana aaye sada kar chale,
Ke myaan khush raho hum dua kar chale,

Jo tujh bin na jeene ko kahte the hum
So is ahd ko ab wafa kar chale,

Shifa apni taqdir hi mein na thi,
Ke maqdoor tak to dawa kar chale,

PaDe aise asbab paayaan-e-kaar,
Ke na-chaar yoon ji jala kar chale,

Wo kya cheez hai aah jis ke liye,
Har ek cheez se dil utha kar chale,

Koi na-umidaana karte nigaah,
So tum hum se munh bhi chhupa kar chale,

Bahut aarzu thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale,

Dikhaai diye yoon ki be-khud kiya,
Humein aap se bhi juda kar chale,

Jabeen sajda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandagi hum ada kar chale,

Parastish ki yaan tak ke ai but tujhe,
Nazar mein sabhon ki khuda kar chale,

Jhade phool jis rang gulbun se yoon,
Chaman mein jahaan ke hum aa kar chale,

Na dekha ghum-e-dostaan shukr hai,
Humin daagh apna dikha kar chale,

Gayi umr dar-band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bada kar chale,

Kahein kya jo poochhe koi hum se 'Meer',
Jahaan mein tum aaye the kya kar chale.!!

"Meer Taqi Meer"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...