Sahar se raat ki sargoshiyan bahaar ki baat,
Jahaan mein aam hui chashm-e-intizaar ki baat,
Dilon ki tishnagi jitni dilon ka ghum jitna,
Usi qadar hai zamane mein husn-e-yaar ki baat,
Jahaan bhi baithe hain jis jaa bhi raat may pi hai,
Unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyaar ki baat,
Chaman ki aankh bhar aai kali ka dil dhadka
Labon pe aai hai jab bhi kisi qaraar ki baat,
Ye zard zard ujaale ye raat raat ka dard,
Yahi to rah gai ab jaan-e-be-qaraar ki baat,
Tamam umr chali hai tamam umr chale
Ilahi khatm na ho yaar-e-ghum-gusaar ki baat..!!
"Makhdoom Mohiuddin"
No comments:
Post a Comment