Sunday, February 25, 2018

Baar-ha Gaur-e-dil Jhanka Laya

Baar-ha gaur-e-dil jhanka laya,
Ab ke shart-e-wafa baja laya,

Qadr rakhti na thi mata-e-dil,
Sare aalam mein main dikha laya,

Dil ki yak qatra khooun nahin hai besh,
Ek aalam ke sar bala laya,

Sab pe jis baar ne giraani ki,
Us ko ye na-tawaa'n utha laya,

Dil mujhe us gali mein le ja kar,
Aur bhi khaak mein mila laya,

Ibtida hi mein mar gaye sab yaar,
Ishq ki kaun inteha laya,

Ab to jaate hain but-kade se 'Meer',
Phir milenge agar khuda laya,

"Meer Taqi Meer"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...