Mujhe dubo ke bahut sharmsaar rahti hai,
Wo ek mauj jo dariya ke paar rahti hai,
Humaare taaq bhi be-zaar hain ujaalon se,
Diye ki lau bhi hawa par sawaar rahti hai,
Phir us ke baad wahi baasi manzaron ke juloos,
Bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai,
Isi se qarz chukaaye hain main ne sadiyon ke,
Ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai,
Humaari shahar ke danishwaron se yaari hai,
Isi liye to qaba taar taar rahti hai,
Mujhe khareedne waalo qataar mein aao,
Wo cheez hun jo pas-e-ishtihaar rahti hai..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment