Rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar,
Wahi nikle saraar-aara qayamat mein khuda ho kar...
Haqeeqat-dar-haqeeqat but-kade mein hai na kaabe mein,
Nigaah-e-shauq dhokhe de rahi hai rahnuma ho kar...
Ma'aal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai,
Ke aakhir rang-o-bu ud jayenge ek din hawa ho kar...
Abhi kal tak jawani ke khumista'n the nigaahon mein,
Ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar...
Mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jaati,
Ye kya be-aitinaai apne bande se khuda ho kar...
Sirisht-e-dil mein kis ne koot kar bhar di hai betaabi,
Azal mein kaun ya rab mujh se baitha tha khafa ho kar...
Ye pichhli raat ye khamoshiyan ye doobte taare,
Nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar...
Bala se kuchh ho hum 'Ehsaan' apni khoo na chhodenge,
Hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar.!!
"Ehsaan Danish"
No comments:
Post a Comment