Tuesday, February 27, 2018

Ghar Se Ye Soch Ke Nikla Hun Ke Mar Jaana Hai

Ghar se ye soch ke nikla hun ke mar jaana hai,
Ab koi raah dikha de ke kidhar jaana hai...

Jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho,
Is musafir ko to raste mein thahar jaana hai...

Maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukaar,
Main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai...

Nashsha aisa tha ki may-khaane ko duniya samjha,
Hosh aaya to khyaal aaya ke ghar jaana hai...

Mere jazbe ki badi qadr hai logon mein magar,
Mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...