Be Rabt Husn_O_Ishq Ye
Kaif_O_Asar Kahan
Thi Zindagi Azeez Magar Is Qadar Kahan
Tere Baghair Raunaq_E_Deewar_O_Dar Kahan
Shaam_O_Sahar Ka Naam Hai, Shaam_O_Sahar Kahan
Kiya Jaaniye Khyaal Kahan Hai Nazar Kahan
Teri Khabar Ke Baad Khud Apni Khabar Kahan
Maana Ke Mohtasib Bhi Bara Ba Shaoor Hai
Lekin Usay Nazaakat_E_Ghum Ki Khabar Kahan
Kahne Ko Ahl_E_Ilm Ki Koi Kami Nahi
Lekin Khud Apni Fikar, Khud Apni Nazar Kahan
Tark_E_Ta'alluqaat Ko Muddat Guzar Chuki
Zaalim, Tere Khy@al Se Phir Bhi Mufar Kahan
Arsa Hua Ke Rasm_E_Mohabbat Badal Chuki
Daaman Se Wo Muaamla_E_Chashm_E_Tar Kahan.!!
No comments:
Post a Comment