Wednesday, February 28, 2018

Sawaal, Ghar Nahin Buniyaad Par Uthaya Hai

Sawaal, ghar nahin buniyaad par uthaya hai,
Humare paanw ki mitti ne sar uthaya hai,

Hamesha sar pe rahi ek chattaan rishton ki,
Ye bojh wo hai jise umr-bhar uthaya hai,

Meri ghulail ke patthar ka kaar-nama tha,
Magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai,

Yahi zameen mein dabayega ek din hum ko,
Ye aasman jise dosh par uthaya hai,

Bulandiyon ko pata chal gaya ke phir main ne,
Hawa ka toota hua ek par uthaya hai,

Maha-bali se baghawat bahut zaroori hai,
Qadam ye hum ne samajh soch kar uthaya hai.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...