Ishq ki duniya mein ek hangama barpa kar diya,
Ai khyaal-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya,
Zarre zarre ne mera afsaana sun kar daad di,
Main ne wahshat mein jahaan ko tera shaida kar diya,
Toor par raah-e-wafa mein bo diye kanate kaleem,
Ishq ki wus'at ko masdood-e-taqaaza kar diya,
Bistar-e-mashriq se sooraj ne uthaya apna sar,
Kis ne ye mahfil mein zikr-e-husn-e-yakta kar diya,
Chashm-e-nargis ja-e-shabnam khoon royegi nadeem,
Main ne jis din gulsitaan ka raaz ifsha kar diya,
Qais ye meraaj-e-ulfat hai ki ejaaz-e-junoo'n,
Najd ke har zarre ko tasveer-e-laila kar diya,
Muddaa-e-dil kahun 'Ehsaan' kis ummeed par,
Wo jo chaahenge karenge aur jo chaha kar diya.!!
"Ehsaan Danish"
No comments:
Post a Comment