Thursday, February 22, 2018

Manaazir, Shahar, Qasbe Ajnabi Hain

Manaazir, Shahar, Qasbe Ajnabi Hain,
Takhatib, Lafz, Lahje Ajnabi Hain,

Ye Kaisi Be'murawwat Sar-zamee'n Hai,
Yahaan Sab Ke Rawayye Ajnabi Hain,

Samandar Lag Raha Hai Apna Apna,
Magar Is Ke Jazeere Ajnabi Hain,

Zamaane Ho Gaye Hain Saath Rahte,
Magar Hum Phir Bhi Kitne Ajnabi Hain,

Wahi Alfaaz Hain Maanoos Saare,
Magar Mafhoom Ab Ke Ajnabi Hain,

Lakeerein Apne Haatho'n Ki Pareshaa'n,
Muqaddar Ke Sitaare Ajnabi Hain,

Hui Manzil Gurezaa'n Jab Se Anwar,
Zameen Naraaz, Raste Ajnabi Hain..!!

مناظر ، شہر ، قصبے اجنبی ہیں
تخاطب ، لفظ ، لہجے اجنبی ہیں

یہ کیسی بے مروت سرزمیں ہے
یہاں سب کے رویے اجنبی ہیں

سمندر لگ رہا ہے اپنا اپنا
مگر اس کے جزیرے اجنبی ہیں

زمانے ہو گئے ہیں ساتھ رہتے
مگر ہم پھر بھی کتنے اجنبی ہیں

وہی الفاظ ہیں مانوس سارے
مگر مفہوم اب کے اجنبی ہیں

لکیریں اپنے ہاتھوں کی پریشاں
مقدر کے ستارے اجنبی ہیں

ہوئی منزل گریزاں جب سے انور
زمیں ناراض ، رستے اجنبی ہیں

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...