Tuesday, February 27, 2018

Hum Ne Khud Apni Rahnumaai Ki

Hum ne khud apni rahnumaai ki,
Aur shohrat hui khudaai ki,

Main ne duniya se mujh se duniya ne,
Saikdon baar bewafaai ki,

Khule rahte hain saare darwaaze,
Koi soorat nahin rihaai ki,

Toot kar hum mile hain pahli baar,
Ye shuruaat hai judaai ki,

Soye rahte hain odh kar khud ko,
Ab zaroorat nahin razaai ki,

Manzilein choomti hain mere qadam,
Daad dijiye shikasta-paai ki,

Zindagi jaise-taise kaatni hai,
Kya bhalaai ki kya buraai ki,

Ishq ke karobaar mein hum ne,
Jaan de kar badi kamaai ki,

Ab kisi ki zabaa'n nahin khulti,
Rasm jaari hai munh-bharaai ki.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...