Mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga,
Ye pul-siraat agar hai to chal ke dekhunga,
Sawaal ye hai ke raftaar kis ki kitni hai,
Main aaftaab se aage nikal ke dekhunga,
Mazaaq achchha rahega ye chaand-taaron se,
Main aaj shaam se pahle hi dhhal ke dekhunga,
Wo mere hukm ko fariyaad jaan leta hai,
Agar ye sach hai to lahja badal ke dekhunga,
Ujaale baantne waalon pe kya guzarti hai,
Kisi charaagh ki maanind jal ke dekhunga,
Ajab nahin ki wahi raushni mujh mil jaaye,
Main apne ghar se kisi din nikal ke dekhunga..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment