Sunday, February 25, 2018

Chashm-e-Saaqi Ne Ye Kya Khel Racha Rakha Hai

Chashm-e-Saaqi Ne Ye Kya Khel Racha Rakha Hai,
Koi Zahid Koi May-khwaar Bana Rakha Hai,

Jo Phansa Phir Na Kabhi Us Ne Rihaai Maangi,
Teri Zulfon Ne Ajab Jaal Bichha Rakha Hai,

Husn Ho Ishq Ho Dono Ka Asar Yaksaan Hai,
Cheez Hai Ek, Magar Naam Juda Rakha Hai,

Choom Leti Hain Latak Kar, Kabhi Chehra Kabhi Lab,
Tum Ne Zulfon Ko Bohat Sar Pe Charha Rakha Hai,

Teri Makhmoor Nigaahon Se Hai Raunaq Saari,
Warna Saaqi.! Tere May-khane Main Kya Rakha Hai..!!
_____________________






چشم ساقی نے یہ کیا کھیل رچا رکھا ہے
کوئی زاہد تو کوئی مہ خار بنا رکھا ہے

جو بھنسا پھر نہ کبھی اس نے رہائی مانگی
تیری زلفوں نے عجب جال بچھا رکھا ہے

حسن ہو عشق ہو دونوں کا اثر یکساں ہے
چیز ہے ایک مگر نام جدا رکھا ہے

رخ پہ لہراتی ہیں کبھی شانوں سے اُلجھ پڑتی ہیں
تونے زلفوں کو بہت سر پہ چڑھا رکھا ہے

تیری مخمور نگاہوں سے ہے رونق ساری
ورنہ ساقی تیرے مہ خانے میں رکھا کیا ہے..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...