Saturday, January 6, 2018

Dono'n Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho

Dono'n hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho,
Chahat ka maza jab hai ke tum bhi mujhe chaho,

Ye hum nahin kahte hain ke dushman ko na chaho,
Is chaah ka anjaam magar dekhiye kya ho,

Shamsheer se badh kar hain haseeno'n ki adaa'ein,
Be-maut kiya qatl un achchho'n ka bura ho,

Ma'ashooq tarah-daar ho andaaz ho achchha,
Dil aaye na aise pe to phir dil ka bura ho,

Poora koi hota nazar aata nahin armaan,
Un ko to ye zid hai ki humara hi kaha ho,

Tum mujh ko pilaate to ho may seena pe chadh kar,
Us waqt agar koi chala aaye to kya ho,

Waada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata,
Matlab ye humara hai ki baaton mein ada ho,

Khanjar ki zaroorat hai na shamsheer ki haajat,
Tirchhi si nazar ho koi baanki si ada ho,

Khaali to na jaayein dam-e-rukhsat mere naale,
Fitna koi utthe jo qayamat na bapa ho,

Chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do,
Mera dil-e-betaab agar tum ne liya ho,

Un se dam-e-raftaar ye kahti hai qayamat,
Fitne se na khaali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho,

Bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhein, 
Beemar ki aankhon mein agar neel dhhala ho,

Khat khol ke padhte hue darta hun kisi ka,
Lipti hui khat mein na kahin meri qaza ho,

Marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jaaye,
Jeena hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho,

Hai dil ki jagah seene mein kaawish abhi baaqi,
Paikaa'n koi pahlu mein mere rah na gaya ho,

Mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulaawa,
Achchha hai chalo aaj bhi waada na wafa ho,

'Bekhud' ka fasaana to hai mashhoor-e-zamaana,
Ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Tarah-daar = beautiful, graceful, elegant, handsome,
Naqsh-e-kaf-e-paa = footprints
पैर के तलवे का निशान,
Bad-zan = to fall from favour,
Kaawish = effort/ endeavour,
Paikaa'n = the tip of an arrow
तीर की नोक,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...