Ye aur baat hai tujh se gila nahin karte,
Jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte...
Hazaar jaal liye ghoomti phire duniya,
Tere aseer kisi ke hua nahin karte...
Ye aaino'n ki tarah dekh-bhaal chaahte hain,
Ke dil bhi tootein to phir se jurha nahin karte...
Wafa ki aanch sukhan ka tapaak do in ko,
Dilo'n ke chaak rafu se sila nahin karte...
Jahaan ho pyaar ghalat-fahmiya'n bhi hoti hain,
So baat baat pe yoon dil bura nahin karte...
Humein humaari anaa'ein tabaah kar dengi,
Mukaalme ka agar silsila nahin karte...
Jo hum pe guzri hai jaanaa wo tum pe bhi guzre,
Jo dil bhi chaahe to aisi dua nahin karte...
Har ek dua ke muqaddar mein kab huzoori hai,
Tamaam ghunche to 'Amjad' khila nahin karte..!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment