Yaad ke sahra mein kuchh to zindagi aaye nazar,
Sochta hoon ab bana loon ret se hi koi ghar...
Kis qadar yaadein ubhar aai hain tere naam se,
Ek patthar phenkne se pad gaye kitne bhanwar...
Waqt ke andhe kuen mein pal rahi hai zindagi,
Ai mere husn-e-takhayyul baam se neeche utar...
Tu aseer-e-abru-e-shewa-e-pindaar-e-husn,
Main giraftaar-e-nigaah-e-zindagi-e-mukhtasar...
Zabt ke qarye mein 'Amjad' dekhiye kaise kate,
Soch ki sooni sadak par yaad ka lamba safar..!!
"Amjad Islam Amjad"
___
Husn-e-takhayyul = beauty of imagination,
Qarye = villages,
No comments:
Post a Comment