Monday, January 8, 2018

Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi

Zindagi dard bhi dawa bhi thi,
Hum-safar bhi gurez-pa bhi thi,

Kuchh to the dost bhi wafa-dushman,
Kuchh meri aankh mein haya bhi thi,

Din ka apna bhi shor tha lekin,
Shab ki aawaz be-sada bhi thi,

Ishq ne hum ko ghaib-daa'n kiya,
Yahi tohfa yahi saza bhi thi,

Gard-baad-e-wafa se pahle tak,
Sar pe khema bhi tha rida bhi thi,

Maa ki aankhein charagh thin jis mein,
Mere hum-raah wo dua bhi thi,

Kuchh to thi rahguzar mein sham-e-talab
Aur kuchh tez wo hawa bhi thi,

Bewafa to wo khair tha 'Amjad',
Lekin us mein kahin wafa bhi thi.!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...