Tuesday, January 9, 2018

Huzoor-e-yaar Mein Harf Iltija Ke Rakkhe The

Huzoor-e-yaar mein harf iltija ke rakkhe the,
Charaagh saamne jaise hawa ke rakkhe the...

Bas ek ashk-e-nadamat ne saaf kar daale,
Wo sab hisaab jo hum ne utha ke rakkhe the...

Sumoom-e-waqt ne lahje ko zakhm zakhm kiya,
Wagarna hum ne qareene saba ke rakkhe the...

Bikhar rahe the so hum ne utha liye khud hi,
Gulaab jo teri khaatir saja ke rakkhe the...

Hawa ke pahle hi jhonke se haar maan gaye,
Wahi charaagh jo hum ne bacha ke rakkhe the...

Tum hi ne paao'n na rakkha wagarna wasl ki shab,
Zameen pe hum ne sitaare bichha ke rakkhe the...

Mita saki na unhein roz o shab ki baarish bhi,
Dilon pe naqsh jo rang-e-hina ke rakkhe the...

Husool-e-manzil-e-duniya kuchh aisa kaam na tha,
Magar jo raah mein patthar ana ke rakkhe the.!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...