Nikal ke halqa-e-shaam-o-sahar se jaayein kahin,
Zameen ke saath na mil jaayein ye khalaayein kahin,
Safar ki raat hai pichhli kahaniyaan na kaho,
Ruton ke saath palat'ti hain kab hawaayein kahin,
Faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya,
Mujhe talaash na karti hon ye balaayein kahin,
Hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya,
Tanaabein khema-e-jaan ki na toot jaayein kahin,
Main os ban ke gul-e-harf par chamakta hoon,
Nikalne waala hai sooraj mujhe chhupaaein kahin,
Mere wajood pe utri hain lafz ki soorat,
Bhatak rahi thin khalaaon mein ye sadaayein kahin,
Hawa ka lams hai paao'n mein bediyo'n ki tarah,
Shafaq ki aanch se aankhein pighal na jaayein kahin,
Ruka hua hai sitaaron ka karwaa'n 'Amjad',
Charaagh apne lahu se hi ab jalaayein kahin.!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment