Na aasmaan se na dushman ke zor o zar se hua,
Ye Mo'ajaza to mere dast-e-be-hunar se hua,
Qadam utha hai to paao'n tale zameen hi nahin,
Safar ka ranj hamein khwahish-e-safar se hua,
Main bheeg bheeg gaya aarzu ki baarish mein,
Wo aks aks mein taqseem chashm-e-tar se hua,
Siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin,
Sahar ka khauf hamein aainon ke darr se hua,
Koi chale to zameen saath saath chalti hai,
Ye raaz hum pe ayaa'n gard-e-rahguzar se hua,
Tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte,
Guzar humara kayi baar yoon to ghar se hua,
Kahaan pe soye the 'amjad' kahaan khuli'n aankhein,
Gumaa'n qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua.!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment