Aisa bana diya tujhe qudrat khuda ki hai,
Kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai,
Bhashm-e-siyaah-e-yaar se saazish haya ki hai,
Laila ke saath mein ye saheli bala ki hai,
Tasweer kyun dikhayein tumhein naam kyun batayein,
Laaye hain hum kahin se kisi bewafa ki hai,
Andaaz mujh se aur hain dushman se aur dhhang,
Pahchaan mujh ko apni paraai qaza ki hai,
Maghroor kyun hain aap jawaani par is qadar,
Ye mere naam ki hai ye meri dua ki hai,
Dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda,
Ye baankpan ki chaal ye naaz-o-ada ki hai,
Rah rah ke le rahi hai mere dil mein chutkiya'n,
Phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai,
Gardan mudi nigaah ladi baat kuchh na ki,
Shokhi to khair aap ki tamkee'n bala ki hai,
Hoti hai roz baada-kasho'n ki dua qubool,
Ai mohtasib ye shaan-e-kareemi khuda ki hai,
Jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gaye,
Jhepi hui nigaah talaafi jafa ki hai,
Chhupta hai khoon bhi kahin mutthi to kholiye,
Rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai,
Kah do ke be-wazu na chhuye us ko mohtasib,
Botal mein band rooh kisi paarsa ki hai,
Main imtihaan de ke unhein kyun na mar gaya,
Ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai,
Dekho to ja ke hazrat-e-'Bekhud' na hon kahin,
Daawat sharab-khaane mein ek paarsa ki hai.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Girah = a knot, a joint, a knuckle,
Band-e-qaba = knot of the tunic
knot in the tunic/apparel
कुर्ते की गाँठ,
Tamkee'n = majesty, dignity, authority, power,
Baada-kash = drinker, boozer,
Mohtasib = officer who supervises observance of laws and punishes offenders
हिसाब लेने वाला,
Talaafi = compensation, recompense, making amends, complaints,
No comments:
Post a Comment